Search Your Query

Custom Search

Sunday 20 March 2011

Tere Dil Mein Jo Basa Hai, Main Woh Ek Ehsaas Hoon,


Tere Dil Mein Jo Basa Hai,
Main Woh Ek Ehsaas Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Yeh Naa Soch Ke Teri Khamoshi Ne Mujhse Kuch Naa Kaha!!!
Meri Mohabbat Alfaazo Ki Mohtaj Nahi,
Main Tere Dil Ki Awaaz Hoon!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon.....

Meri Pehchaan Tujhse Hi Hai,Teri Pehchaan Bhi Mujhse,
Tu Agar Jism Hai To Main Libaaz Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tujhko Tujhse Hi Churaa kar Mehfoos Rakha Hai Apne Dil Mein,
Tere Bin To Main Jaise, Ek Toota Hua Saaz Hoon!!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Jab Bhi Main Tanha Rehti Hoon,
Meri Har Soch Mujhse Tera Hi Zikar Karati Hai!!!
Tu Jo Saath Hai To Mehsoos Hota Hai Aksar,
Main Bhi Kuch Khaas Hoon..
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tasveer Ki Koi Zubaan Nahi Hoti,
Aur Mohabbat Ki Umar Nahi Hoti,
Par Phir Bhi, Kabhi Zindagi Ke Panho Ko Palatkar Dekh,
Jo Bhuj Naa Paaye Mohabbat Mein,Main Waisi Ek Pyaas Hoon!!!
Door rehkar Bhi Main Tere paas Hoon....

Tere Jazbaaton Mein Bikhar Bhi Jaau To koi Gham Nahi!!!
Main Hi Tera Humsafar Hoon, Main Hi Humraaz Hoon..
Door rehkar bhi Main Tere Paas Hoon...


Darkness falls on me like rain....
just
one drop at a time....


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...