Search Your Query

Custom Search

Monday 28 March 2011

Mohabbt Nayab thi usne Aam kardi.


Mohabbt Nayab thi usne Aam kardi.

Arse ki Chahat pal me Neelam kardi.

Deta raha jisko me Zindgi ka Naam,

Wo Zindagi Achanak usne Be-Naam kardi.

Ek muddat se Chupi thi jo Khuwahish Dil me,

Wahi Aarzu aj Mehfil me Sar-e-Aam kardi.

Dukh ta"lluk k toot jane ka nahi he "SahiL"

Dard ye he k Chahat usne Badnam kardi.

Zakhm-E-Tanhai Mein khushbo-e-hina kis ki thi,


Zakhm-E-Tanhai Mein khushbo-e-hina kis ki thi,
Saaya diwar per mera tha Sada kis ki thi,
Us ki raftar se lipti rahi ankhen meri,
Us ne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi,
Aansuon se hi bhar gaya daaman mera,
Hath to maine utthaye thay DUA kis ki thi,
Meri Aahon ki zubaan koi samjhta kaise,
Zindgi itni dukhi mere siwa kis ki thi,
Aag se dosti us ki thi jala ghar mera
De gaye kisko saza aur khataa kis ki thi.

Wo Mere jesa tha Faqat Mera Nhi tha

Mohabat ki Qasam Wo Aisa Nhi tha..
Wo Apna tha Mgar Lagta Nhi tha..
Najane Q na Aaya Mujhse Milne..
Zamane se To Wo Darta Nhi tha..
Hansne ki Bari Aadat thi Usko..
Wo Mujh ko Dekh kar Hansta Nhi tha..
Mere Dil main hai Shamil
Uski Ulfat..
Wo Mere jesa tha Faqat Mera Nhi tha....

Aey nadan dil rotay nahi hain


Aey nadan dil rotay nahi hain
Kuch apnay ho k b pass hotay nahi hain.
Zara se faslay per yeh udasi kesi.
Dil main basny walay kabhi door hotay nahi hain.

Kisi apny ko khona wo kya jany


Kisi apny ko khona wo kya jany
Bina nend k sona wo kya jany
Us shaks ny to mujhe mehfilon main muskraty dekha hai
Meri tanhai ka rona wo kya jany....

Faqt Pehloo Badalney Se Rafaqat Kam Nahi Hoti


Faqt Pehloo Badalney Se
Rafaqat Kam Nahi Hoti
Magar Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nahi Hoti

Jahan Koi Bicharh Jae
Wahin Per Uski Manzil He
Kisi k Saath Chalney Se
Musafat Kam Nahi Hoti

Humare Dushmano Men
Chahne Wale Bhi Shamil Hen
So Hum Jis Haal Me Bhi Hon
Mohabbat Kam Nahi Hoti…

duniya be-dard hoti hai
shareek-e-gham nahi hoti,
kisi kai door hone se
mohabbat kam nahi hoti

Ek Chadar Ko Rah-e-Mehboob Mein Bicha Dena,


"THE BEST GHAZaL"

Ek Chadar Ko Rah-e-Mehboob Mein Bicha Dena,

Mein Mar Jaun To Usay Mera Kafan Bana Dena,

Thori Si Khaak Un Ke Qadmo Ki Lena Qabar Ke Liye,

Ek Ansu Un Ka Mujh Per Gira Dena,

Bohot Roye Ga Mujhe Dehk Dehk Kar Woh Shaks,

Is Liye Dair Na Lagana Mujhe Jaldi Dafna Dena,

Lagana Ek Poda Meri Qabar Ke Serhanay,

Meray Yar Ke Ansu Us Pode Ko Pila Dena,

Ager Bohot Roye Meri Qabar Par Woh Aa Kar,

To Nikalna Mujhe Wahan Sy Aur Jala Dena...

Koi umeed jo hoti tere lout aane ki


["WASI SHAH"]

Koi umeed jo hoti tere lout aane ki...

Phir na hoti aisi halat dil dewane ki...

Mein to har haal mein khush rehne ki justju mein rahe...

Na gai teri aadat wo sataane ki...

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaat rahe hon...

Nahi deta koi dua bhi mar jane ki...

Tere sang beeta har lamha yaad aata hai...

Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki...

Ab to aksar yehi sochte rehte hun "Wasi"

Tujh ko mangon ya mangon dua mar Jane ki....

Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho


Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho.
Badn me door talak zindgi ka naam na ho !
Wo benaqaab jo phirta hai gali koochon me.
To kaise shehar k logo me 'qatl-e- aam' na ho !
Muje yaqeen hai k dunya me dard barh jain.
Agar ye peenay- pilanay ka ehtmaam na ho !
Bitha k samne bas dekhta rhoon us ko.
Us k siwa muje dunya ka koi kaam na ho !
Jo us ko Mein dekh lu ik nazar b,
Mere shehar ki galiyon me kbi shaam na ho....

Kaya puchte ho tere hijar main kaya sochte hain


Kaya puchte ho tere hijar main kaya sochte hain
Saja k tum ko nigahon main sada sochte hain
Tere wajood ko chhu kr jo guzarti hai kbi
Hm us hawa ko b Jannat ki hwa sochte hain
Ye apne zarf ki had hai ya faqat tera lehaaz
Tere sitam ko muqaddar ka likha sochte hain
Mera Us Shehr-e-Adawat Main Bsera Hai Jahan...
Log Sajdon Main B Logon Ka Bura Sochte Hain
Kis qadar hum b hain nadaan mohbat main "AZAN"
Tere ikhlaas ko hum teri wafa sochte hain.

Aatish-e-ishq me jal jaon tujhe is se kya


Aatish-e-ishq me jal jaon tujhe is se kya
Mousam ki tarah badal jaon tujhe is se kya

Chot khaon ya zakham lagay,ya ehsas-e-ghum me tarpon
Me gir jaon ya sanbhal jaon tujhe is se kya

Musaraton ko dekh ker Beqarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum se behal jaon, tujhe is se kya

Hansta dekh ker hans paron, rota dekh ker ro paron,
Halat k sanchay me dhal jaon, tujhe is se kiya

Zararot nahi ab kisi hamsafar ki Sharif
Janib-e-manzil tanha nikal jaon,tujhe is se kya.

Na Jane Kyun Dil Mein Halchal Si Hoti Hai


"Tumhare Aane Ki Ik Aahat Si Hoti Hai,
Na Jane Kyun Dil Mein Halchal Si Hoti Hai"

"Tumhe Dekhne Ko Jee To Chahta He Mgr,
Tmhari Aankhon Me Aksar Ik Shrarat Si Hoti Hai"

"Tum Jo Muskura K Mujhe Ik Nazar Dekho,
Aesa Lagta Hai Jese Sehra Me Barish Si Hoti Hai"

"Tum Chalo Sath Mere umr Bhar K Liye,
Tmhe Dekh Kr Aksar Ye Khwahish Si Hoti Hai"

"Mere Hatho Ki LakeeRon Me Ho Shamil Naam Tmhara,
Takdeer Se Aksar Ye Guzarish Si Hoti hai."

Yaad-e-Madina


‎''RAB ''se baat karne ka dil chahe to "NAMAZ" parha karo
aur
jab app chate ho k RAB apse baat kare to "QURAN" parha karo

Remember


rEmeMbR

1.There's always a lil truth behind evry 'JUST KIDDING...

2.There's always a litl knowledge behind evry 'I DON'T KNOW'

3.There's always a litl emotion behind evry 'I DON'T CARE'

4.There's always a litl pain behind evry 'IT'S OK'

So remember wht u see nd wht u hear isn't wht u always get...!!!

"Bismillah" is enough for you.


In millions of books there is only one word.

If your vision is clear just "Bismillah" is enough for you.

Shah Abdul Latif Bhittai.

8 pyari baten...!


8 pyari baten...!

1)Haya or parda waqar Mein izafa karta hy,
2)Hasad Dil ko Tabah karta hy,
3)Olaad k liye jo b cheez ghar lao pehle Larki ko Do phir Larky ko,
4)Dunya Main sub se khatarnak GHUSSA Jawani ka hy,
5)Kisi ka Dil Dukhane se pehle itna zaroor socho k
Agar Aap uski jaga hon to aap pr kia guzre,
6)Guftugu Chandi hy or Khamoshi Sona,
7)Tumhara Apne Bhai se Milte waqt Muskura dena bhi SADQA hy,
8)Sirf Rab k hazoor roya karo sada sukhi raho ge..

Agar kisi pe Bharosa karo to Aakhir tak


Agar kisi pe Bharosa karo to Aakhir tak
Bharosa karo
Natija Chahy Jo B Niklay
Akhir mein Ya To Apko 1 Sacha Dost Mily ga
Ya Phir 1 Acha Sabaq.

Dil K Darwazay Ki Tasveer


Ek Artist Sey Dil K Darwazay Ki Tasveer Banaanay Ko Kaha Gaya..
Uss Ney Nihayat Haseen Ghar Banaya..!
Uss Mein Chota Sa Khubsurat Darwaza Lagaya..!!
LEKEN
Uss Ka Handle Nahi tha..,
=Kisi ney Poocha Handle Q Nahi Lagaya...?
To Wo Bola....!
Dil ka Darwaza andar sey khola jata hai... bahir sey Nahi...!

Agar Kisi Ko Kuch Dena Hy To Usay Achha Waqt Do


Agar Kisi Ko Kuch Dena Hy To Usay Achha Waqt Do.

BCoz Aap Her Cheez Wapis Le Sakty Ho

Magar Kisi Ko Diya Huwa Achha Waqt Wapis Nahi Le Sktay.

BALANCE OF LIFE


Our birth is our opening balance
Our death is our closing balance
Our prejudiced views are our liabilities
Our creative ideas our assets

Heart is our current asset
The soul is our fixed asset
Our brain is our fixed deposit
Thinking is our current account

Achievements are our capital,
Character and moral are our stock-in-trade
Friends are our general reserve
Values and behaviour are our goodwill

Love is our dividend
Education is our brands/patents
Knowledge is our investment
Experience is our Premium account
Our Aim is to Tally the balance sheet accurately
The goal is to get the best-presented account award.

Just Words...


My words so often flow without a care or hesitation
onto the waiting canvas only I can see.
At other times, the thoughts are there, just
aching for a path around your fears that still my hand.

Would that I could write the words to free a
gentle spirit locked deep within a searching soul;
A soul that cries for peace and just one chance
to feel the joy of someone's selfless love.

Perhaps those words will never come,
for though our hearts and minds are always open
to the things we wish to share………a part of
what we feel seems doomed to linger in a
shadowed hall.

Deny the thoughts…pretend the feelings don’t exist.
For this becomes a safer way, and guards against
the possibility of pain.
Too soon we find the lock upon that searching soul,
has turned to stone…..protected, safe, and yet...
the chance to feel is lost.

Dreams


Do not quiet your dreams ...
When the twilight comes to us, let there be no excuses, no explanations, no regrets!

If you have a dream ...
Don't wait for some distant day to come, it may be too late before you've even begun.

Not everyone will agree with all you decide ...
Sometimes "the majority" only means that all the fools are on the same side.

Be true to yourself first and foremost ...
The only important thing in life is what you do with the time you spend here on earth.

Don't be afraid to follow your desires ...
They are neither silly nor selfish; take the time and do what makes you feel alive.

Leave your fears and regrets in the past ...
Our eyes are placed in front because it's more important to look ahead than to look back.

If you look back, your journey is ended ...
You have only today to begin anew and follow your dreams, for in the end, all we have are our memories.

Attitude Defines Life


Life is Best for those who want to Live it,
Life is Difficult for those who want to Analyze it,
Life is worst for those who want to Criticize it,
Our Attitude Defines Life...

Enjoy Your Life,
Laugh so Hard That even Sorrow Smiles at You,
Live Life so Well That even Death Loves to see you Alive,
Fight so Hard That even Fate accepts its Defeat....

have a nice day

Teachings for us to follow


Teachings for us to follow:

“Obey Allah and Allah will reward you.”

“If you are shameless, you would do as you wish.”

“Make sure your food is good (halaal and bought with halaal earnings), and you will be one whose prayers are answered.”

“Fear Allah wherever you may be.”

“Follow up a bad deed with a good deed, to waive it out.”

“Mix with people with a good attitude.”

“Keep away from prohibited things and you will be among the best of worshippers.”

“Be content with what Allah has given you, and you will be among the richest of people.”

“Love for other people what you love for yourself.”

“Do not laugh too much, for excessive laughter deadens the heart.”

“Wrongdoing will be multiple darkness on the Day of Resurrection.”

“Fear Allah and treat all your children fairly.”

“Fear the Fire, even if by giving half a date (in charity).”

“Fear the prayer of the oppressed.”

Chand dhal raha hay

چاند ڈھل رھا ھے

سوچو تو وہ ساتھ چل رھا ھے
دیکھو تو نظر بدل رھا ھے
ھم بھی تیرے بعد جی رھے ھیں
اور تو بھی کہیں بہل رھا ھے
سمجھا کے گئی ھیں ابھی سکھیاں
اور دل ھے کہ پھر بھی مچل رھا ھے
ھم ھی برے ھوں گے کہ تیرا
معیار وفا ھی بدل رھا ھے
پہلی سی روشنی نہیں اب
کیا درد کا چاند ڈھل رھا ھے
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...