Search Your Query

Custom Search

Wednesday 15 December 2010

jo mein ne chaha woh nahin hua hai

jo mein ne chaha woh nahin hua hai
mere saath to hamesha yahi hua hai

chote lagi hazaaron is nazuk dil ko
laikin iss bar dard bohat ziaada hua hai

woh nahin jaanta ha koi bhi
jo kuch uss ne taqdeer mein likha hua hai

mein andar se hoon kitni bikhri
yeh kissi par nahin khulla hua hai

mere naam itna mohabba bhara khat
yeh aakhir kiss ne likha hua hai

meri zindagi mein ha intizaar or sirf intizaar
yeh sach to ab mujh par aashkaar hua hai

kissi k dil mein sachi mohabbat nahin hai
yahaan nafraton ka jaal buna hua hai

kissi cheez ko bhi choona nahin
yahan sabhi kuch bata hua hai

koi to ho jiss ko mein zakham dikhaaoon
maseeha koi nahin yahan bana hua hai

tum aakhir kissi ko bataati kiun nahin
tumhaare saath maajra kiya hua hai

ho gi tumhaari ghalti zaroor
tabhi tumhaara sir jhuka hua hai

yeh ho gayee kiya haalat aarzoo
tumhaara to sabhi kuch lutta hua hai

Dua nhi to gila deta koi, Meri wafaon ka sila deta koi

Dua nhi to gila deta koi
Meri wafaon ka sila deta koi,


Jab muqaddar hi nhi tha apna,
Deta b to kya deta koi,


Hasil-e-ishq faqat dard hy,
Ae kash pahle hi bata deta koi,


Taqdeer me nhi tha agr asman chona,
Khak me hi mila deta koi,


Guman hi ho jata kisi apne ka,
Daman hi pakar k hila deta koi,


Ek arse se atka hy hichkiyon pe dum,
Acha hota jo bhula deta koi,

Ye zindagi to ro ro k kat gai,
Kya hota agar hansa deta koi.

haam e gham jab bikhar gai ho gi

haam e gham jab bikhar gai ho gi
janay kis kis kay ghar gai ho gi ?


itni larzaan na thi chiraagh ki lau,
apnay saye say dar gayee ho gi


chandini ik shab ki mehmaan thi
subah hootay hi mar gayi ho gi

dair tuk wo khafa rahay hum se
door tuk ye khabar gayi ho gi

aik darya ka rukh badaltay hi
aik nadi phir utar gayi ho gi


jiss tarhaan woh safar pe nikla tha
sari rounaq udhar gayi ho gi


raat souraj ko dhoondnay kay liye
ta ba hud e sehar gayi ho gi


mairi yadoon ki dhoop chaoon mein
uss ki sourat nikhar gayi ho gi


ya taluq na nibha saka uss say
ya tabiyaat hi bhar gayi ho gi


tairi pal bhar ki dosti mohsin,
uss ko badnaam kar gayi ho gi

Mein kiya likhoon Muhabat kainati wusatoon se bhi

Mein kiya likhoon
Muhabat kainati wusatoon se bhi
Kaheen agye ki lamehdood wusat he
Kesi chehre ko ankhoon aur khuwaboon ki dua par naqsh karna
Iss ke bare mein sochna
Aur apni har khuwaish ko bas us zaat tak mehdood kar lena 
MUHABBAT HAI

Thetharti absharoon mein buji thandi hawa sehna
Shaboon ke gunbadoon mein gunjati bechenioon ke 
Darmeaan rehna
Har ek mosam ko apne andaruni mosamon ki zad mein
Ley ana
Kabi mil ke kesi se
Bekhabar adhye samandar tak safar karna
Kabi tanha kesi sahil pe deer tak lehroon ko ginna
Aur hala mein dekhte rehna 
MOHABBAT HAI

Kesi khoye huwe ko geer iradi toor par
Har ajnabi cehre mein aksar dhudte rehna 
Hamesha bekhayali mein
Kitaboon,chand taroon,badloon par
Us ke bare mein gilmilati batein likh dena
Ya phir likh ke mita dena
Kabi rangoon ki lehroon par
Use bee surat hontoon se sada dena
Sada ko bazgasht aur gunj mein dhal kar
Khlaoon se tehi daman palatte dekhana
Aur phir sada dena
MOHABBAT HAI

Mein kiya likhoon?
Kabi aisa bi hota he
Buhat ruth kar naraz ho kar
Napasandeda khyaloon,nafratoon ki aot se
Ya muhtalif khiloon,bahanoo se
Kesi ko jankte rehna
Kesi ko sochte rehna
Wo mane ya na mane bas use likhna use kehna
MOHABAT HAI

Bahot Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko

Bahot Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko
Teray Pass Anay Ko Dil Chahata Hai


Dosty Tujh Say Nahi Teri Serat Say Ki Hai
Is Liay Dost Bananay Ko Dil Chahata Hai


Bharoosa Na Tha Dosti Per Kabi Hum Ko
Teray Milnay K Bad Bharoosa Kernay Ko Dil Chahata Hai



Hamain Narazgi Main Is Terhan Manaya Hai Tu Nay
K Phir Ruth Janay Ko Dil Chahata Hai


Tu Acha Hai Tujh Say Tu Rutha Na Jaiy
Per Tujhay Satanay Ko Dil Chahata Hai


Dosty Nay Diya Bahot Faraib Hum Ko Mager
Teri Dosty Ko Nibhanay Ko Dil Chahata Hai


Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Piyar Kerta Hai
ALLAH Say Tujhay Mangnay Ko Dil Chahata Hai

Tumhain kaisay bata'ain hUm Mohabbat aur kahaani main koi rishta nahi hota

Tumhain kaisay bata'ain hUm
Mohabbat aur kahaani main koi rishta nahi hota
Kahani main
To ham waapas bhi aatay hain
Mohabbat main palatnay ka koi rasta nahi hota
Zara socho !
Kahin dil main kharashain daalti yaadon ki saffaaki
Kahin
daaman say lipti hay kisi bhooli hui
Saa'at ki nam'naaki
Kahin aankhon kay khaimon main
Charagh-e-khuab gul karnay ki saazish ko
Hawa daiti hui raaton ki chaalaki
Magar main banda-e-khaaki
Na jaanay kitnay Firowno'n say uljhi hay
Mairay laihjay ki bay'baaki
Mujhay daikho
Mairay chaihray pay kitnay mousamon ki gard
Aur is gard ki teh main
Samain ki dhoop main rakha ik aaina
Aur aainay main ta hadd-e-nazar phailay
Mohabbat kay sitaray aks ban kay jhilmilatay hain
Nai dunyao'n ka rasta batatay hain
Isi manzar main aainay say uljhi kuch lakeerain hain
Lakeeron main kahaani hay
Kahani aur mohabbat main azal say jang jaari hay
Mohabbat main ik aisa mowr aata hay
Jaha'n aa'kar kahaani haar jaati hay
Kahaani main to kuch kirdar ham khud farz kartay hain
Mohabbat main koi kirdaar bhi farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdaar
Mil jul kar kahin aagay chalatay hain
Mohabbat apnay kirdaron ko khud aagay barhaati hay
Kahaani main kai kirdaar
Zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaro'n ko marnay hi nahi daiti
Kahaani kay safar main
Manzaron ki dhool urti hay
Mohabbat ki musaafat raah'geeron ko bikharnay hi nahi daiti
Mohabbat ik shajar hay
Aur shajar ko is say kiya matlab
Kay us kay sa'aiy main
Jo bhi thaka haara musaafir aa'kay baitha hay
Ab us ki nasl kiya hay rang kaisa hay
Kaha'n say aaya hay
Kis simt jaana hay
Shajar ka kaam to bas chaao'n daina 
Dhoop saihna hay
Usay is say gharaz kiya hay
Paraao daalnay waalon main kis nay
Chaao'n ki taqseem ka jhagra uthaaya hay
Kahaa'n kis aiyhad ko tora kahaan waada nibhaaya hay
Magar ham jaantay hain
Chaao'n jab taqseem ho ja'aiy
To aksar dhoop kay nayzay
Rag.o.paiy main utartay hain
Aur is kay zakhm khowrda loge
Jeetay hain na martay hain

jab umar e rawan thak jaya gi jab chehray dhundla jain gay

jab umar e rawan thak jaya gi jab chehray dhundla jain gay
hum sans main tari khushboo ka ahsas bacha kar rakhain gay

jab wahshat daman geer ho aur jab tanhaiee tarpay gee
hum yadoon ka kuch ghunchay dil ka pass bacha kar rakhain gay

ya reeg e rawan tham jay gi tum sawan ban kar aao to
hum rah tumhari dekhain gay aur pyass bacha kar rakhain gay

jab aankh main ansoo aa jaya aur yad humari tarpaya
tum waqt e nizaa tak aa jana hum sans bacha kar rakhain gay

jab duniya tum per wazeh ho jab jhoot ka parda hat jaya
jab wahshat say tum ghabraoo jab aankh sa jala hat jaya

kia soch k hum ko thukraya ya soch ka jab dum ghut jaya
tum bhool ka sab kuch loot aana hum aas bacha kar rakhain gay

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

na tha manzoor qismat ko ,na thi marzi baharoon ki
nahin to is gulstan main, kami thi kia nazaroon ki

mere nazroon ko bhi koi nazara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

khushi say apni aankhon ko ,main ashkoon say bhigo letee
meray badlay too hans lete,tere badlay main ro letee

mujhay ae kash tera dard sara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mili hay chandni jin ko ,ye un ki apne qismat hay
mujhay apnay muqadar se,fakat itne shikayat hay

mujhay toota huwa koi,sitara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay

Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay
Janay Kahan Kab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay
Ucheey Ucheey Dewaron Si Is Duniya Ki Rasmien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas
Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko.........

Jaise Parbat Pey Ghata Jhukti Hai
Jaise Sagar Se Lehar Uthty Hai
Aise Kisi Chehray Pey Nigha Rukti Hai
Hooo................
Rook Nahi Saktyn Nazroon Ko Duniya Bhar Ki Rasmien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas Mien

Aaa Mien Teri Yaad Mien Sab Ko Bholadon
Duniya Ko Teri Tasweer Dekhadon
Mera Bas Chalay To Dil Cheerkay Dekhadon
Hooo................
Daur Raha Hai Pyar Tera Ban K Lahoo Rag Rab Mien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas Mien
Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay

Hum per tumari Chah ka ilzam hi to hai

Hum per tumari Chah ka ilzam hi to hai
dushnam to nahin hai ye ikaram hii to hai

karate hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin
shauq-e-fazool-o-ulfat-e-nakaam hii to hai

dil muddaii ke harf-e-malaamat se shad hai
ae jaan-e-jan ye harf tera naam hii to hai

dil naa-ummiid to nahiin, na-kaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai

dast-e-falak men, gardish-e-taqadiir to nahin
dast-e-falak men, gardish-e-ayyaam hii to hai

aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai

bhiigii hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa hangaam hii to hai

kahin door dasht-e-khyaal main

kahin door dasht-e-khyaal main

koi qafla hy rukka hoa

kahin khali ankh ki godd main

kayee rutt'jaggy hy parry hoay

kahin ehad-e-mazi ki rah per

koi yaad si kahin khu gye

kahin khawab'zaru ky darmyaan

mujy zindgi ny buser kia

mery mah-o-saal ki gohdd main

na koi visal ka chand hy

koi aas hy na umeed hy

na kissi sitary ka hath hy

na hath hi main koi sath hy

kyee wahmy, kyee waswassy

mujy ghyyr lyty hain sham sy

wohi din matah-e-hyaat hain

ju buser kiay tery naam se

Meri Raaton Ki Rahat Din Ka Itminaan Ley Jana

Meri Raaton Ki Rahat Din Ka Itminaan Ley Jana
Tumhare Kaam Aa Jaye`Ga Ye Samaan Ley Jana

Tumhare Baad Kia Rakhna Anaa Say Wasta Koi
Tum Apney Sath Mera Umer Bhar Ka Maan Ley Jana

Shikasta Haal Say Raizay Parhey Hain Farsh Par Chun Lo
Agar Tum Jourh Saktay Ho To Ye Guldaan Ley Jana

Udhar Almarioyon Me Chan Auraaq-e-Pareeshan Hain
Mere Ye Baqi Maanda Khuwab Meri Jaan Ley Jana

Tumhein Aisay To Khaali Hath Rukhsat Kar Nahi Sakta
Purani Dosti Hai Iski Kuch Pehchan Ley Jana

Irada Kar Liya Hai Tum Ney Agar Sach Much Bicharney Ka
To Phir Apney Ye Saray Vaada-o-Paimaan Ley Jana

Agar Thori Bohot Hai Shayari Say Unko Dilchaspi
To Unke Saamnay Mera Ye Tum Diwaan Ley Jana

Mujhay Suljhao Ab Jana'n, Hay mujh ko yaad aay humdum

Mujhay Suljhao Ab Jana'n

Hay mujh ko yaad aay humdum

Tum har ik baat pay mujh say

Ye he ik baat kehtay thay

Rahoo tum mutma'in jana;n

kay ab tum Sirf maree ho

Tumharee har khushe,har dard

Har ehsaas Meraa hai

Jo tum Mehsoos kartee ho 

Mujhay Maloom hota hai

Tumhain jo Ghum ho gar Jana'n

tou maree Aagahee mujh ko

Bara baychain kartee hai

Tumharee Ankh say ansoo tapakta hai

Tou uss ka Num

Maree Ankhain bhigota hai

Tumhain ab apnay baray mein

Zara Bhi Fikr karnay ki

Zaroorat he nahin jana'n

"kay meraa masaala ho TUm"

Magar jab aj Aay Humdum

yaqeen-o-Bay-yaqeeni mein

Ulaajh kar rah gaee hon tou

Baray he maan say janaa'n

Tumharee Oor taktee hon

Mujhay iss bay-yaqeeni say 

Nikaloo gay tumhee aa kar

Mujhay Thokar lagee hai tou 

Sambhaloo gay tumhee aa kar

Mein jitnee bhi ulaajh jaon

Tumhain maaloom hai sab kuch

Kay kaisay, kab ,kahan pay

Konsee girhaa khulay ge aur

Sulaajh jayin ge sab batain

Tou phir kis sooch mein gum ho!!

Chalay aao na ab jana'n

Maree iss khasta halee say

Na yun katraoo Ab Jana'n

"Tumhara masa'la hon MeiN"

Mujhay Suljhao Ab Jana

Jab Tasawwer Main Jam Aatay Hain

Jab Tasawwer Main Jam Aatay Hain
Aafatabi Maqaam Aatay Hain


Yoon Chatakhtay Hain Shaakh Pay Gunchay
Jesay Unkay Salam Aatay Hain


Dil Ke Nadaniyoon Pay Ghoor Na Kar
Khotay Sekkay Bhi Kaam Aatay Hain


Chand Lamhaat No Jawani Main
Wajib ul Ahtaraam Aatay Hain



Manzil -e- Eshq Main Khurd Walay
Sirf Do Chaar Gaam Aatay Hain



Dastan -e- Hayat Main Sagher
Bay Wafaon Kay Naam Aatay Hain

Dekho Jaana ... Door Na Jaana ...

Dekho Jaana ...

Door Na Jaana ...

Ke Hum Dono Kabhi Bhi Doori ...

Seh Na Sakenge ...

Main Ne Suna Hai ...

Ishq Mein Doori Ya Majboori ...

Chupke Chupke Jaan Leti Hai ...

Har Shab, Har Subah, Har Lamha ...

Dil Marta Hai ...

Bikharti Rooh Ko Hijr Ki Wehshat ...

Nagin Ban Kar Das Leti Hai ...

Yeh Sab Sun Kar Main To Jaana ...

Dar Jati Hoon ...

Aur Kehti Hoon ...

Dekho Jaana ...

Door Na Jaana ...!!!

guzar gayi hai jo dil per kisi se kia kehna

guzar gayi hai jo dil per kisi se kia kehna
hawa e shaam use chand herf ja kehna

gaya tha dhoondne sachhi muhabbaton k sadaf
jise qubool na tha habs ko hawa kehna

wo khushboo'on ka musaafir wo roshni ka safeer
kahin mile to hamari use duaa kehna

na shehar apna raha na shehar wale hi
tumhare baad sabhi kuch badal gaya kehna

sitam zareef hain kehdaingi saari basti se
hawaoon se na kabhi dil ka maajra kehna

jo roshni k luterey hain aise logon ko
humare shehar main lazim hua khuda kehna

kabhi to chain mile jaagte kuwaarr'on ko
kabhi to bhool paro gher ka raasta kehna

Ek chehra nayab dikhayi deta hai

Ek chehra nayab dikhayi deta hai,
Khawbon mai bhi khawab dikhayi deta hai,

Kon hai jis ki khatir yeh pagal dil,
Har lamha betaab dikhayi deta hai,

Tere hi jalwon se mere afsane ka,
Roshan eke k baab dekhayi deta hai,

Pehli chahat ka nanha sa poda bhi,
Jiwan bhar shadab dikhayi deta hai,

Sapnon ki jab koi basti basti hai,
Be mousam selaab dekhayi deta hai,

Ghat’ti umr ki dolat kis ko dikhti hai,
Bas maal-o-asbaab dekhayi deta hai,

DUKH jaye jab RAGHIB wo roshan chehra
Phir kis ki mehtaab dekhayi deta hai…!!!!!

Paas aao ik ilteja sun lo, Pyaar hai tum se be-panah sun lo

Paas aao ik ilteja sun lo

Pyaar hai tum se be-panah sun lo

Aik tumhi ko khuda se manga hai

Jab bhi mangi koi dua sun lo

Ibtida ishq ki hui tum se

Tum ho chahat ki inteha sun lo

Bin tere jee nahin sakunga main

Laut aao,meri sada sun lo

Dekh lo zindagi adhuri hai

Na raho aur ab juda sun lo

Tum,sirf tum,ho zindagi meri

Such hai such hai ba-khuda sun lo

Yahan koi nahin mera apna

Tum rahoge mere sada sun lo

Maazi k warq palat kar roye, Yadon se teri lipat kar roye

Maazi k warq palat kar roye,
Yadon se teri lipat kar roye,

Roye khoob toot kar kabhi ham,
Khud me bhi kabhi simat k roye,

Chehre se khushi tapak rahi thi,
Ham tarz-e-jahan se hat k roye,

Ek sar sabz shakh ki trah ham,
Ulfat k shajar se kat k roye,

Ham thakne lage to raste bhi,
Qadmon se lipat lipat k roye,

Un ke sath aasman bhi roya,
Jo apni zameen se hat k roye,

Wo chehra tha kataab ek RAGHIB,
Jis k har warq ko ratt k roye…!!!!!

KOI NAZM AISI LIKHOON KABHI

KOI NAZM AISI LIKHOON KABHI,
Teri baat baat ki roshni,
Mere harf harf me bhar sake,
Tere lams ki ye shaguftagi,
Mere jism-o-jaan me utar sake,
Koi chandni kisi gehre rang k raaz ki,
Mere raston me bikhar sake, 
Teri guftago se banayon me,
Koi daastan koi kehkashaan,
Hon muhabton ki tamazaten,
Bhi kamal tarah se meharban,
Tere bazuyon ki bahar me,
Kabhi jhoolte hoe gayoon mai,
Tere gustaju k chiragh ko,
Sar-e-shaam dil me jalyon mai,
Isi jhilmilati si sham me,
Likhon nazm jot era roop ho,
Kahin sakht jaron me ek dam jo chamak uthe,
Koi khushgawar si dhoop ho,
Jo wafa ki taal k raks ka,
Koi jeeta jagta aks ho,
KOI NAZM AISI LIKHOON KABHI,
K hare k lafz k haath me,
Tere naam k tere harf-e-taaz kalam k,
Kayi raaz hon,
Jinhen munkashif bhi karon agar,
To jahan-e-sheir-e-baab me,
Mere dil me rakhi kitaab me,
Tere chashm-olab bhi chamak uthen,
Mujhe rshni ki fizayon me kahin ghair lain,
KOI NAZM AISI LIKHOON KABHI,,,,,,,

Sab ke kehne se irada nahi badla jaata

Sab ke kehne se irada nahi badla jaata
Har saheli se dupatta nahi badla jaata.

Hum ke shayar hai sihyasat nahi aati humko
Humse muh dekh ke lehza hai badla jaata.


Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai,
Warna kya sheher mein shajra nahi badla jata..?

Aisa lagta hai ke woh Bhool gaya hai humko,
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

Jab rulaya hai to hasne pe na majboor karo,
Roz bimar ka nuskha nahi badla jaata.

Ghum se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon,
Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata.

Umrr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi.
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata.

Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma

Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gi

Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab matam ki tarah Khushi wo manati ho gi

Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gi

Dil ki masoom raggin khud he sulagti hon gi
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gi

Roop day kar mujhay is mein shehzaday ka
Bachon ko kahani woh sunati ho gi

Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gi
Ya meri tarah ashq bahati ho gi

Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gi

Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Mere matam ki sada arsh hilati ho gi…...!!!!!!

Judai Ke Sare Silsiley Usi Tarah Jari Hain

Judai Ke Sare Silsiley
Usi Tarah Jari Hain

Ansu Tere Bhe Behte Hain
Ansu Mere Bhi Jari Hain

Socha Tha Ke Sath Hi Tere
Jyenge Ge Bhi Marenge Bhi

Sochne Ki Jistuju Hum Mei
Ab Bhi Wase Hi Jari Hain

Har Dafa Tujhe Pane Ki Umeed
Tut Kar Bikhar Jati Hain

Har Dafa Umeeden Bandhna
Ye Aadat Ab Bhi Jari Hain

Tum Bhe Ab Tung Ho Hum Se
Ab Be Bus Hain Hum Khud Bhi

Ansu Mere Bhi Behte Hain
Ansu Tere Bhi Jari Hain

main aur meri bekhudi ab teray naam hay

main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
meri tamaam zindagi ab teray naam hay.

socha tha zindagi ka safar tanha karain gay,
iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay.

logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam,
meri toe sans akhri ab teray naam hay.

jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani,
main aur meri dosti ab teray naam hay.

hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna,
apni toe sari zindagi ab teray naam hay.

ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn,
lamha meri ghari meri ab teray naam hay.

na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan,
yeh chaand aur yeh chandni ab teray naamhay.

yeh aarzoo choti si Mussawir ke dil main hay,
woh bhi kahay yeh aashiqi ab teray naam hay.

Main tum se bicher ker nahi faryaad karoonga

Main tum se bicher ker nahi faryaad karoonga
Ye bhool jaoo k main tumhe yaad karoonga

Is shehr e baywafa main wafa ki qadr kahan
Ab ja k main sehraoon ko abad karoonga

Ger dil k taluq say hay inkar wo kerta
Main rooh k rishtay say bhi azad karoonga

Shayad khushi sakoon main rahat na mili hoo
Gham day k apnay dil ko main ab shad karoonga

Dil bhi udaas rah k ab ukta sa gia hay
Ab to niya hi shughl main ijaad karoonga……!!!

tumhari poron ka lams ab tak meri kaf-e-dast par hay

tumhari poron ka lams ab tak
meri kaf-e-dast par hay
aur mai yeh sochta hoon
woh lamhay kitnay darogh-go thay
woh keh gaey thay
keh ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN
tamaam hontoN kay saaray lafzon say mu’tabar haiN
woh keh gaey thay
tumhari porain
jo meray haathon ko chhu rahi theeN
woh to qismat-taraash haiN
aur apni qismat ko
saaray logoN ki qismatton say buland jaano
hamaari maano
to ab kisi aur haath ko haath matt lagana
mai uss samay say
tamaam haathon
woh haath bhi
jin mai phool
shaakhon say barrh kay lutf-e-namu utthaaeyn
woh haath bhi jo sada kay mehroom thay
aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN
aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thay
aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thay
woh haath bhi
jin kay naakhunoN kay nishaaN
ma’soom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thay
tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon say
dast-kash yuN ho raha hoon jaisay
yeh mutthiyaaN mainay khol deeN to
woh saari sachhaayyoN kay motti
musarratton kay tamaan jugnu
jo bay-yaqeeni kay janglon mai
yaqeen ka raasta banaatay haiN
roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN
meray haathon say rooTh jaaeyn gay
phir na taaza hawa chalay gi
na koi shama-e-sada jalay gi
mai zabt aur intezaar kay iss hissaar mai mudatton raha hoon
magar jab aik shaam
aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi
hawa apna aakhri geet ga rahi thi
meray badan mai mera lahu khushk ho raha tha
to mutthiyaaN main nay khol deeN
aur mai nay daikha
keh meray haathon mai
koi jugnu
na koi motti
hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN
aur unn mai
qismat ki sab lakeerain mari huwi theen

har pal tujhe yaad yeh dil karta tou hai

har pal tujhe yaad yeh dil karta tou hai,
teri khushi ki fariyaad yeh dil karta tou hai,

tumne tou karli bewafaai humse,
phir bhi tujhi se wafa yeh dil karta tou hai,

meri mohabbat ko tune kai ilzaam de diye,
phir bhi tujhe chahne ki khata yeh dil karta tou hai,

todd ke wada tum chal diye,
phir bhi tera intzaar yeh dil karta tou hai,

gham tujhe kabhi chhoo na paaye,
bus yehi dua yeh dil karta tou hai,

tere sare aansoo muhje mil jaaye,
yehi iltijaa yeh dil karta tou hai ,

dil ke badle dil ke anginat tukde mile hume,
toota hua hi sahi tere liye yeh dil dhadkata tou hai,

na mil saki mohabbat teri humein,
phir bhi tujhise mohabbat yeh dil karta tou hai,

tum tou kar na sake iqraar-e-mohabbat,
lekin pyar ka izhaar yeh dil karta tou hai,

har modd per sivaye dagaa kuch na diya tumne,
phir bhi tere liye khuda se takraar yeh dil karta tou hai.

Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yaar ke qissey

Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yaar ke qissey
Gul o gulzaar ki baatien, Lab o rukhsaar ke qissey.

Yahan sab ke muqaddar mein faqat zakhm e judai hai,
Sab hi jhootey fasaney hain wisaal e yaar ke qissey.

Bhala ishq o mohabbat se kisi ka pait bharta hai,
Suno tum ko sunata hoon main karobaar ke qissey.

Mere ehbaab kehte hain yehi aik aib hai mujh mein,
Sar e deewar likhta hoon pas e deewar ke qissey.

Main aksar is liye logon se jaa kar khud nahi milta,
Wohi bekaar ki baatien wohi bekaar ki qissey...!

Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai

Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai
Wo mery khat jo jalati hai tou ro parti hai


Khoon dakhta hai mere marte huey sapno ko
Khwab ankhon mein basati hai tou ro prti hai


Log puuchein jo kabhi gehri udasi ka sabab
Baat logon se chupati hai tou ro parti hai


Yaad karti hai mjhy toot kar us lamhy
Sham chehra jo dkhati hai tou ro parti hai

Wo bary zabt bary hosly wali larki
Gham ko tehreer banati hai tou ro parti hai ...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...