Search Your Query

Custom Search

Sunday 20 March 2011

Jo mil jaye to theek na mile to qismat mein nahin hota


Jo mil jaye to theek na mile to qismat mein nahin hota
jeet ke liye jagna hai kisi ko hasil jeet ghuflat mein nahin hota

jab tak hai paas tere ikhtiyar tu kya kuch nahin karta
aur baad mein wo kounsa lafz hai jo teri nidamat mein nahin hota

na tha faqat ishq e Mumtaz kuch aur bhi tha wo doston
warna taaj mehel sirf us mehbooba ke qismat mein nahin hota

hai tere dil mein aaj eik naya armaan jaga bande
warna yeh sar tera youn sajda e maghfirat mein nahin hota

kab maa ne tujhe chaaha na tha kab tujhe sanbhaala na tha
bas baat yeh hai ke faisla e haq dunyawi adaalat mein nahin hota

tu ne to khud hi rakhi thi ghalat jageh umeed e humdardi Chiragh
yahaan humdardi qisson mein hoti hai kis ki fitrat mein nahin hota


U will not feel less
if u know how 2 live in less

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...