Search Your Query

Custom Search

Sunday, 20 March 2011

Yahi Bachat Hai Meri Aur Yehi Kamaya Hai


Yahi Bachat Hai Meri Aur Yehi Kamaya Hai,
Mahabbaton Mein Khasara Bohat Utthaya Hai...!

Ye Jaan Ker Bhi Ke Tu Sirf Ek Saaya Hai,
Hamesha Tere Ta'aaqub Mein Khud Ko Paya Hai...!

Wo Jis Ko Dekh Ke Ta'beer Ki Hawas Na Rahi,
Tamaam Umar Usi Khwaab Ne Rulaaya Hai...!

Mita Mita Sa Kisi Aarzo Ka Naqsh-e-Qadam,
Mujhay Puraney Muhalley Mein Kheench Laya Hai...!

Hamarey Paish-e-Nazar Tha Wo Multaji Chehra,
So Hum Ne Apni Khushi Se Fareb Khaya Hai...!

Hamarey Khoon Ke Cheenttey Padhey Hain Lafzon Par,
Ghazal Mein Tab Kahin Ja Kar Ye Rung Aaya Hai...!

Salaamati Ka Koi Raasta Na Tha Raahi,
Mujhay Kisi Ki Duaoon Ne Phir Bachaaya Hai...!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...