Search Your Query

Custom Search

Tuesday, 25 January 2011

Humein dosti aap ki khud se bhi pyaari hai

Humein dosti aap ki khud se bhi pyaari hai
teri tasveer hum ne apne dil me utaari hai
ae dost eik teri dosti ki wajeh se hi 
zindagi apni mein ne hamesha sanwaari hai

Wo Hoon main


Hatheli samney Rakhna,
K sab Aanso Giren uss main
Jo Ruk jaega Honton par

Samajh jana k
Wo Hoon main

Kabhi jo Chand ko dekho,
To Tum yun Muskura dena,
Jo chal Jaaye Hawa Thandi
To Ankhein band kar leina
Jo Jhonka Teiz ho sab se
Samajh jana k
Wo Hoon main

Jo zeyada “Yaad” Aaon main
To Tum Ro leina jee bhar k
Agar Hichki koi Aaye
Samajh jana k
Wo Hoon main

dosti ek jazba hai jisme doston ko sataya nahi jata

dosti ek jazba hai jisme doston ko sataya nahi jata
dosti ek ehsaas hai jisme doston ko rulaya nahi jata

dosti ek patang hai jiski door thame rahni chahiye
kahin patang na ulajh jaye khud ladkhadaya nahi jata

dosti ek vishwaas hai sach aur imaandaari ka
dost ko sach kahne se kabhi bhi roka nahi jata

dosti me kabhi dimaag se kaam lia nahi jata

dosti me kabhi dimaag se kaam lia nahi jata
dosti me kabhi dost ko neecha dikhaya nahi jata


dosti chhal kapat se age bahut hi aage hai
bhoole se bhi dost ka dil dukhaya nahi jata


dosti me koi hasrat nahi ye khud hi poori hai
dosti me dosti ka shukriya bhi nahi kia jata

Saalon Baad Na Jane Kya Sama Hoga (Friendship Poetry SMS)

Saalon Baad Na Jane Kya Sama Hoga

Hum Sub Dosto Mein Se Na Jane Kaun Kaha Hoga

Milna Hua To Phir Milenge Khwabo Mein

Jaise Sukhe Gulab Milte Hai Kitabo Mein…

DOSTI means

"Dosti"
is a sweet Relation becoz "DOSTI" Means

(D)-Dua denay wala.

(O)-Omeed ki kiran.

(S)-Sath nibhane wala.

(T)-Tanhai ka sathi.

(i)-itbar k kabil 

Such, Ehsas, Insaniyat, Aitbar


Dosti 1 aisa "poda" hy jis main "such" ki miti,

"Ehsas" ka pani

"insaniyat" ki hawa

or

"aitbar" ki dhop

us"pody"ko ek mazbot "darakht" bana data hy.

Yeh Sila Mila Hai Mujh Ko Teri Dosti K Peechhe (Friendship Poetry SMS)

Yeh Sila Mila Hai Mujh Ko Teri Dosti K Peechhe

Keh Hazaaroon Ghum Lage Hain Meri Zindagi K Peechhe

Woh Ameer Hain To Hoon Ge Main Ghareeb Hoon To Kiya Hai

Woh Mehal Bana Rahe Hain Meri Jhompri K Peechhe

Na mila hai koi mujhko aur na milegaa (Friendship Poetry SMS)

Na mila hai koi mujhko aur na milegaa
bas tere hi dostane se ye gulshan khilega.


Na yaki kar duniya me kisi ek pal ke liye
zindagi kaa pata nahi teree dosti ke liye.


Main to sadiyo se chahata hu tujhe ye wafaa
magar mera hi sath deti nahi hai ye zindagee.


Gar ye dosti nahi hoti is jaha me teri yara
main to mar gaya hota tere bina mere yara.

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye (Friendship Poetry SMS)

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

Vo ik dost jo pyara sa lagta hay (angry SMS)

Vo ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain …

Dost (Reality SMS)

Dost wo nahi jo apke kaam aaye,
Dost woh jo aapki t-shirt maang kar le jaye aur
kabhi na wapas de…
Dost wo nahi jo aapko treat de,
Dost wo hai jo aap ke
Ghar aaye aur kahe “aaj kya paka hai,
Jo bhi paka hai jaldi se liya”…
Dost wo nahi jo call kar ke milne aaye,
Dost wo jo ghar ke samne aake message
Kare “Kaminey bahar aa”…
Dost wo nahi jo marne mein aaye,
Dost wo jo kabar par T-shirt le ke aaye
aur kahe “Le nahi chahiye tera ehsaan chal
uth aur meri dosti wapas kar”

friendship is a ship which never drowns (friendship SMS)

friendship is a ship which never drowns
friendship is a truth which never blames

the purpose of friendship is often unpurposeful
friendship does nt require anything it means full

friendship doesnt mean to meet or to talk
it is never done with prsnalities but to thoughts

Teri dosti ne mujhe mashoor kar diya (friendship SMS)

Teri dosti ne mujhe mashoor kar diya,
Jindagi jine ko majbur kar diya,
kya kahu main ab tanhai ka,
tu ne mujhe maut se bhi dur kar diya.

Nadan doston se nahi koi gila mujhe (urdu poetry sms)

Nadan doston se nahi koi gila mujhe,
barbad kar gaya mera zoq-e-wafa mujhe,
JIN DOSTON NE HAL TAK NA PUHA UMAR BHAR,
UNHI SE RAHI UMED-E-WAFA MUJHE....
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...