Raaz rehne se to behetter hai ke afsha ho ja
tu qayamat hai to aa samne barpa ho ja
pheil ja phool ki tarha gulshan mein
koun kehta hai ke tu ishq mein rusawa ho ja
doston ke abhi kuch aur karam baqi hain
zakhm e dil tu aaj zara aur gehra ho ja
ban na shoula tujhe roshan hi agar hona hai
shab ki tareeki mein tu din ka ujala ho ja
deeda-e-num se kahe koun kisi din tu bhi
sookh jaata hai jo garmi mein wo darya ho ja
un ki aankhein bhi mujhe dekh ke num ho jayein
ae taqaza-e-wafa aaj tu poora ho ja
doob jata hai mere deeda-e-num mein jo haya
aye mere ashk tu wo subah ka taara ho jaa
No comments:
Post a Comment