Search Your Query

Custom Search

Thursday, 6 January 2011

lab-e Khaamosh se afshaa hogaa

lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang me.n rusvaa hogaa

dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
abr gul_zaar pe barasaa hogaa

tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
ko_ii tum se bhii hasii.n kyaa hogaa

ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baiThoge to charchaa hogaa

zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa

kis qadar karb se chaTakii hai kalii
shaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

umr bhar roye faqat is dhun me.n
raat biitii to ujaalaa hogaa

saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
ko_ii ham-saa bhii na tanhaa hogaa

yaad phir mujh ko wo aanay laga

yaad phir mujh ko wo aanay laga
jis ki her baat mehaz khushboo hay

aap say tum,tum say phir tu kehna
baat hi baat main dil ki aarzoo kehna

meray ihsas pay cha gya hay yun
mujh ko deewana bana gya hay yun

her taraf uska aks hay ab to
jaisay mujh main saman gya hay wo

uski sergoshiyan hain chaaron taraf
aur kuch sunnay ko hay na kehnay ko

jab sawan main tanha bheego gay

jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay

jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay

jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay

"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay

in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......

Dil ko Khaamosh Kar Kay Daikhain Gaye

Dil ko Khaamosh Kar Kay Daikhain Gaye
Tujh ko Faramosh Kar Kay Daikhain Gaye

Baad Marnnay Kayy Tairee Yaaad Na Ho
Khud ko Bay-Hosh Kar Kay Daikhain Gaye

Mairee Ankhon Main Bassay Ho, Tum Hee Tum
Khudd Ko Madhh~Hosh Kar Kay Daikhain Gaye

Suntay Hain Kay Unn Ko Khudda Millta Hai
Khud ko Mae~Nosh Kar Kay Daikhain Gaye

youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood

youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood
tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay

youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay


youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay


yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay

Mohabbat khoney or paney ka naam sahi Aao wada karain

Mohabbat khoney or paney ka naam sahi

Lekin mohabbat jeet janey ka nam bhi hai

Main ne tumhey paya

Tum ne mujhe paya

Aao aaj aehad karain

Humari mohabbat sada rahegi

Isey khoney na deingey

Rastey ki har deewar ko

Giraney main tum mera saath dogey

Aao wada karain

KABHI KHAMOSH BETHO GAY KABHI KUCH GUNGUNAO GAY

KABHI KHAMOSH BETHO GAY KABHI KUCH GUNGUNAO GAY
MAIN ITNA YAAD AOONGA..MUJHAY JITNA BHULAO GAY

KOI JAB POOCH BETHAY GA KHAMOSHI KA SABAB TUM SAY
BOHAT SAMJHANA CHAHO GAY MAGAR SAMJHA NA PAO GAY

KABHI DUNIYA MUKAMMAL BAN KAY AAYAY GI NIGAHO'N MEIN
KABHI MERI KAMI DUNIYA KI HAR IK SHA'Y MEIN PAO GAY

KAHIN PER BHI RAHAIN HUM TUM....MUHABBAT PHIR MUHABBAT HAI
TUMHAIN HUM YAAD AAYAIN GAY...HUMAIN TUM YAAD AAO GAY

KABHI KHAMOSH BETHO GAY......

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao
Akele saath Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao,

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki,
Bahut Aasan Ho, Thode Bahut Dushwar Ho Jao,

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao,

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Bas Ab Aisa Karo, Tum Saya-E-Deewar Ho Jao,

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din, Tum Is Kadar Nadar Ho Jao,

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai,
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao...

Safar Tanha nahi kartay Suno Aisa nahi kartay

Safar Tanha nahi kartay
Suno Aisa nahi kartay

Jisay Shafaf rakhna ho
Usay Mela nahi kartay

Safar jis ka muqadar hai
Usay roka nahi kartay

Ye Onchay paird(Tree)kesay hain
Kahin saya nahi kartay

Bohut ujray huy gher per
Bohut socha nahi kartay

Kabhi hansanay say dartay nahi
Kabhi roya nahi kartay

Chalo tum raaz ho apna
Tumhain Afshaan nahi kartay

Sahar say poch lo Mohsin
K hum soya nahi kartay

bahut milaa na milaa zindagi se Ghum kyaa hai

bahut milaa na milaa zindagi se Ghum kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag me.n alaavO to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai

lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai

Lipti rahi wajood se khushbu tmam raat

Lipti rahi wajood se khushbu tmam raat
Aata raha hai yaad mujhe tu tmam raat..

Us ne bary khuloos se mangi thi roshni
Girty rahy mkaan pe jugnu tmam raat..

Rota rha wo aap he apne naseeb per
Apne galay mein daal k baazu tmam raat..

Fursat na thi tabeeb ko apne hi kaam se
Peety rahy mreez bhi aansu tmam raat..!

Bohat dino se mera Dil uddas rehta hai

Bohat dino se mera Dil uddas rehta hai
Main kya karoon bas ek hi shaks yaad rehta hai

Kabhi khayaal hi nahi aata ke main akeli hoon
ab to mera dost mere saath rehta hai

tum se baat karte hue halat ajeeb hoti hai
mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai

kahin tum badal na jao kahin tum mujhe bhool na jao
na jaane kyun mujhe ab yeh khauf her waqt rehta hai

naa jaane mere Dil ko kya hogaya hai
kyun ab yeh her waqt uddas rehta hai

Jo ghar se duur hotey hain Buhat majboor hotey hain

Jo ghar se duur hotey hain
Buhat majboor hotey hain
Kabhi baaghon mein sotey hain
Kabhi chup chup ke rotey hain
Gharon ko yaad kartey hain
To phir faryaad kartey hain
Magar jo be-sahara hon
Gharon se be-kinara hon
Unhen ghar kaun deta hai
Yeh khatra kaun leta hai...

Bari mushkil se ik kamra
Jahan koi na rehta ho
Nagar se paar milta hai
Buhat bekaar milta hai 
To phir do teen hum jaise
Mila letey hain sab paise
Aur aapas mein yeh kehte hain
Keh mil jul kar hi rehtey hain
Koi khana banaye ga
Koi jhaaroo lagaye ga
Koi dhoye ga sab kaprey
To reh lein ge barey sukh se...

Magar garmi bhari raaten
Tapish-aalood soghaten
Aur uper se ajab kamra
Ghutan aur habs ka pehra
Thakan se choor hotey hain
Sukoon se duur hotey hain
Buhat ji chahta hai tab
Keh maan ko bhej de ya Rab
Jo apni god mein le le
Humein thandi hawa de de
Sula de neend kuch aisi 
Keh tootey phir na ik pal bhi...

Magar kuch bhi nahi hota
To kar letey hain samjhota
Koi dil mein bilakta hai
Koi pehron sulagta hai
Jab apna kaam kar ke hum
Palat'tey hain to ankhen num
Makaan weeran milta hai
Buhat be-jaan milta hai
Khushi ma'doom rehti hai
Fiza maghmoom rehti hai...

Buhat ranjoor kyun na hon
Barey majboor kyun na hon
Awa'il mein maheeney ke
Sab apney khoon paseeney ke
Jo paise jor letey hain
Gharon ko bhej detey hain
Aur apney khat mein likhtey hain
Hum apna dhiyan rakhtey hain
Bari khush bakht ghariyan hain
Yahan khushiyan hi khushiyan hain!!!

woh aksar mujse kahti thi wafa ha zaat aurat ki

woh aksar mujse kahti thi
wafa ha zaat aurat ki
magar jo mard hotay hain
buhat bedard hotay hain
kisi bhanwray ki 
surat gul ki khusboo loot latay hain
suno!
Tum ko kasam meri
riwayat tor dena tum 
na tanha chor dena tum
na yeh dil toor kay jana
magar phir youn howa humdum
mujhe anjan rastey per
akela chor kar usne 
mera dil tor kar usne 
mohabbat chor di usne
wafa ha zaat aurat ki
riwayat tor di usne

Hamara Ye Tum Ko SALAAM Aakhri Hai

Hamara Ye Tum Ko
SALAAM Aakhri Hai

SunO Aj Tum Se
KALAAM Aakhri Hai

Agar Ho Sake To Bhula
Dena Hum Ko

Yehi Ek ChOhta Sa
Kaam Aakhri Hai

Abhi AarZoun K Sehraa
PyaaSe Hain

Magar AnsOun Ka Ye
JAAM Aakhri Hai

Teri BewafaYe Ka
Shikwaa Aakhri Hai

Yehi To WafaOn Ka
Inaam Aakhri Hai

Mariz-e-Muhabbat Ka Aye
Chaara SazO

TumHare Shehar Mai Ye
Shaam Aakhri Hai

Zara Dair TehrO QaZaa
K FariShtOn

LabOn Pe Hamara
PaYaam Aakhri Hai

Koi MiL Sake Ga Na
Hasrat Sa Jesa

Teri AdaOn Ka Ye
GhuLaam Aakhri Hai

Jab tak tere labo ke alfaaz inn kano me dastak na de

Jab tak tere labo ke alfaaz inn kano me dastak na de
khushiyo ke aaine aankho ke saamne nazar nahi aate.,

Dil ko intezar badi be-sabri se rehta hai teri baaten sunne ka,
bin baat kiye tujhse zindagi ke haseen rah nazar nahi aata.,

Hasno maasumiyat se sari teri baatein suhani hai,
teri alfaazo se hi sari meri zindagi ki kahani hai..

Meri mohabbat bhi teri tarah khubsurat hai Jan'a
tere bagair veeran si hamari ye zindagani hai..

Kitna intezar hai aapki aawaz sunkar muskurane ka,
hum to bhul hi gaye muskurana kya hota hai.,

Baatein teri sun lu to sab thek ho jaye ga,
ek pyar bhari muskan hamare labo pe bhi khil jaye gi..

Ik Sira Tu Hai Salamat, Dosra Totta Howa

Ik Sira Tu Hai Salamat, Dosra Totta Howa
Aao Phir Se Jore Dain, Yeh Silsila Totta Howa

Us Ko Dekha Ek Nazer Tu Dekhtay He Reh Gaye
Us Kay Baad Ab Khud Se Bhi Hai Rabta Totta Howa

Tum Humaray Dil Kay Talib Orr Hum Ehraan Hain
Kia Karo Gay Le Kay Ab Yeh Aiena Totta Howa

Ik Tamanna Thi Meri So Wo Shikusta Ho Chuki
Ik Sapna Tha Mera Jo Reh Gaya Totta Howa

Mai Ne Jis Ko Jornay Mai Umer Apni Kaat Di
Ajj Wo Paiker Mujhay Kehnay Laga Totta Howa

Mai Hoon Darya Mai Ghotazun Guher Kay Wastay
Orr Wo Laya Hai Bhi Tu Kia, Kacha Garha Toota Howa

Muddatoo'n Kay Baad Wo Mila Tu Yeh Khula
Hum Tu Bikheray He Thay Lakin Wo Bhi Tha Totta howa....

Koi Mousam Ho Wasl o Hijar Ka Hum Yaad Rakhtay Hain

Koi Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain


Teri Baaton Say Is Dil Ko
Bohat Aabad Rakhtay Hain


Kabhi Dil Kay Sahifay Per
Tujhay Tasveer Kartay Hain


Kabhi Palkon Ki Cha'on Main
Tujhay Zanjeer Kartay Hain


Kabhi Khowabeda Shaamon Main
Kabhi Barish Ki Raaton Main


Koi Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi
tujh ko apne kehte the, magar pehle kabhi

rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi

is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi

ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi

wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi....

Wisaal-O-Hijr Mein Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein

Wisaal-O-Hijr Mein
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein
Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein
Ke Tanhai Ke Jangal Mein
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Mein
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein
Chiraghon Se Saji Shaamon Mein
Ya Benoor Raaton Mein
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Mein
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga
Jis Per Tera Naam Likha Hay Us Taaray Ko Dhundon Ga


Tum Bhi Har Shab Dia Jala Kar Palkon Ki Dehleez Pay Rakhna
Main Bhi Rooz Ak Khowab Tumhara Shaher Ki Janib Bhejon Ga


Hijar Kay Darya Main Tum Parhna Lehron K Tahreerain Bhi
Pani Ki Har Satah Pay Main Kuch Dil Ki Baatein Likhon Ga


Jis Tanha Say Pair Kay Nechay Hum Barish Main Bheegay Thay
Tum Bhi Us Ko Cho Kay Guzarna , Main Bhi Us Say Lipton Ga


Khowab Musafir Lamhon Kay Hain, Saath Kaha Tak Jaaye Gay
Tum Nay Bilkul Theek Kaha Hay, Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga

Kidhar gaya wo mujhe khaak se rehaa ker ke

Kidhar gaya wo mujhe khaak se rehaa ker ke
Pata chale gaa hawaaon se raabta ker ke

Jahaan bhii jaaon gaa dukh mere saath jaaye gaa
Ke jaise jurm kiya hai koii wafaa ker ke

Jo kal kii subha hai merii hai yaa kisii kii nahiin
Main tergii se larra huun ye faisla ker ke

Mitta hii laite hain mehroomi-e-bahaar kaa gham
Tumhaarii bazm main phuulon kaa tazkra ker ke

Kisii ne aag jalaii hai parbaton pe
Koii chala hai samandaron main raasta ker ke

un kahi baat ka izhar bhi ho sakta hai

un kahi baat ka izhar bhi ho sakta hai
pani jam jaye to dewaar bhi ho sakta hai

pichle sawan main tu aya tha ghata ki sorat
kia wohi mo,jiza is baar bhi ho sakta hai

shart itni hai garebaan se pakrey koi
bhagta waqt giriftar bhi ho sakta hai

kia zarori hai musalay pe faqat zahid ho
rone wala koi maikhar bhi ho sakta hai

doosra pehlo bhi tum zahen main rakh kar jana
us ke dar se tumhain inkaar bhi ho sakta hai

jis ki poshak pe ilmas jare hoon mahmood
kaise manoo,n ke wo fankar bhi ho sakta hai....

Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega

Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega
Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Badi mushkil hain chahat ki sabhi rasme sabhi Kaasme
Karenge Pyaar sab lekin nibhane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Kahin majbouriyan hongi Kahin tanhaiyan hongi
Tumhein har mod pe rashta dikhane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Zaroorat har kisi ko hogi Teri meherbani ki
Sitam seh kar Tumhein manane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega
Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega.......

mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya

mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar k inkaar nahin kiya

han badnaseeb hon mai jo tumhara piyaar nahin mila
tum thehrey khushnaseeb jo dil beqarar nahin kiya

phir uthain jab zalim samaaj ne hum tum pe ungliyan
hum hoe sangsaar per tujhe ruswa nahin kiya

maire wafaoon k seley tum ne ki bewafae
hum ne to kabhi is ka tasawer bhi nahin kiya

kis k liye likh raha hai yeh ghazal Muaviya
jis ne tere waadoon ka aitebaar nahin kiya

Tum mujhay yaad karo par ashk na bahao

Tum mujhay yaad karo par ashk na bahao

Raaton ko jaago, socho, par ashk na bahao

Mujhko andheray mein rehna hai bohat pasand

Jo reh sakun uss andheray mein main tere sang

Tumhara dil hai mera makaan tum usko mat jalao

Meri raah mein bas tum raho, mere paas chalay aao

Baat meri maan lo chhoR do zindagi ke gham

Khushiyan hi khushiyan hain jo hum tum hain sang sang

Meri gali ko chhoR ke jao gay tum kahan

Tum ho meri jaan jahan main bhi to hoon wahan

zindagi ke raahoun main baar baar ye dekha hai

zindagi ke raahoun main
baar baar ye dekha hai
sirf sun nahein rakha
khud bhe aazmaya hai
tajurboun se saabit hai
jo bhe perDhtay aaye hain
us ko theek paya hai
is tarah ke baatoun se
manziloun se pehlay he
saath choot jaatay hain
log rooth jaatay hain
ye tumhein bata doun main
chahatoun ke rishtoun main
"girah nahein lagti"
lag bhe jaye to is main
phir kashish nahein rehti
aik pheeka pheeka sa
rabta to hota hai
taazgi nahein rehti
rooh ke taaluq main
zindagi nahein rehti
baat wo nahien banti
dosti nahien rehti
laakh baar mil ker bhe
dil kabhi nahien miltay
yaad ke dareechoun main
titliyoun ke rangoun main
phool phir nahien khiltay
is liye main kehta houn
hum is tarah ke baatoun main
ihtiyaat kartay hain
hum is tarah ke baatoun se
ijtinaab kartay hain...!!

Aks khushbu hoon bikharney se na rokey koi

Aks khushbu hoon bikharney se na rokey koi
aur bikhar jaon tau mujh ko na sametey koi

Kaap uthti hoon yeh soch ke tanhai mai
mere cherey pe tera naam na perh ley koi

Jis tarah khuwab mere hogaye reza reza
is tarah se na kabhi toot ke bikhrey koi

Main tau is din se herasal hoon ke jab hukum miley
khushk phoolon ko kitaboon mai na rakhey koi

Ab tau is raah se wooh shaks guzarta bhi nahi
ab kis umeed pe derwazey se jhankey koi

Koi ahaat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galliaan bari sunsaan hain, aaye koi

Tum Nay Jisay Toot K Chaha Jis Ko Bay Intehaa Piyaar Kia

Tum Nay Jisay Toot K Chaha Jis Ko Bay Intehaa Piyaar Kia
Tum B Waisi Hi tawakoo Rakhoo Theek Hai
Laikin Woo Piyaar Oor Intehaa Tum Ko B Milay Zaroori To Nahi

Jis Ko Paanay K Liay Chupkay Chupkay Din Raat Ansoo Bahay
Tumharay Liay Uss Ki Aankh Ka B Num Hona Zaroori To Nahi

Piyaar Kar K To Daikhoo Aaingi Hazaar Rakawtain
Piyaar Main Paar Kar Loo Gay Tum Unn Sab Ko
Laikin Phir B Tum Ko Piyaar Mil Jay Zaroori To Nahi

Jo Jazba Tumharay Dil Main Hai Uss Ko Paa Lainay Ka Uss Ki Chahat Ka
Woo B Tumhari Chahat Main Bayqaraar Hoo, Aisa Hona Zaroori To Nahi

Dilo Jaan Say Chahtay Hoo Tum, Jaan B Do Gay Tum
Apnay Piyaar K Liay
Laikin Aisa Karnay K Baad B Tumay Tumhari
Jaan Milay Yeh B Kooi Zaroori To Nahi

Piyaar To Woo Jazba Hai Jo Dil Say Parwaan Charta Hai
Oor Phir Barta Hee Rehta Hai
Iss Main Manzil Paa Laina Zaroori To Nahi

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega.

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega.

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega.

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega.

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega.

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega.

BAHARAIN KAB GULSHAN MAIN SADA REHTI HAIN.

BAHARAIN KAB GULSHAN MAIN SADA REHTI HAIN. 

KALION MAIN
KHOSHBOO TA OMER KAHAN REHTI HAI. 

SAWAN AIK HI ZAMEEN PAR
BARASTA TO NAHI. 

BADAL KISI DASHT MAIN RUKTA TO NAHI.


JUDA HO JATAYHAIN PATAY BHI DARAKHTON SAY. 

FASLAIN BHI
KAT JATIN HAIN KHAITOON SAY. 

SAHIL PAY LEHRAY A KARCHALI
JATIN HAIN. 

HAWAIN TO BUS CHO KAR NIKAL JATIN HHAIN.


DUNYA MAIN KOI KISI KA HO KAR NAHI RAHA HAI. 

TAMAM OMER
KOI YAD KARAY NAHI AESA TO NAHI HUA HAI. 

PHIR BICHARNAY K IS
LAMHAY TUM Q UDAS HOTAY HO. 

SAMJHO K AIK DOJAY KO HUM NAY
CHAHA HI NAHI THA. 

KOI NAGHMA LABOON PAR HUM NAY SAJAYA HI
NAHI THA. 

DIL MAIN PALNAY WALAU EHSAS_E_MOHABAT KO DABA DO
TUM. 

HAN MAIN AJJ TUM SAY KHETI HUN K MUJHAY BHOLA DO TUM.


MERAY LAFZOON KA YEH HASIL HAI K MAIN NAHI TUMHARAY LIYE...


BICHARNAY SAY KUCH DAIR PHALAY MUJHAY YEH SAB KHENAY WALI..


WAFA KO ANJAAM KA GHERA KARB DENAYWALI. 
MERI ZINDAGI SAY
DAMAN CHURANAY WALI. 

JATAY HOYE JAB PALTI TO DARD AOR BHI
GHERA THA. 

US KI ANKHOON MAIN KAJAL MERI TAKDEER KI TARAH
BIKHRA THA

Uss samt chale ho tu bus itna ussay kehna

Uss samt chale ho tu bus itna ussay kehna..
Ab koi nahi
herf_e_tamanna ussay kehnaa...
Us nay he kaha tha to yaqeen hum
nay kiya tha..
Umeed pay qayem hai yeh dunia ussay kehnaa..


Dunia to kisi haal main jeenay nahi deyti..
Chahat nahi hoti
kabhi ruswaa ussay kahna..

Zerkhaiz zamene kabhi bunjer nahi
hote..
darya he badal leyte hein rustaa ussay kehna..

Kuch
loog saffer k liye mozoon nahi hote..
Kuch rastey kattay nahi
tanhaa ussay kehna..

Uss shaxs ko tu hum nay bare kurb say
dekha..
Aayaa jesay jeene ka saleeqa ussay kehnaa..

Woh meri
rasayi main nahi hai to ajeeb kiya..

Husrat bhi to hai ishq ka
lehjaa ussay kehnaa...

Wo Lamhe Jo Mujhe Choo Kar nahi guzre

Wo Lamhe Jo Mujhe Choo Kar nahi guzre
Wo Waqt Jo meri yadoon
mein nahi dhala,
Kyon Bhul nahi pata mein,
Kyon reh reh kar
yaad ata hai mujhko.
Wo raat jo meri ankhon mein saji hai,
Wo
khushbu jo meri sanson mein basi hai,
Kyon badalon si bahar ati
hai,
Kyon boondon si baras jati hai.
Wo sawan jo mere dar par
aya hi nahi,
Wo barsat jisne kuch barsaya hi nahi,
Kyon uska
intezar ab abhi hai,
Kyon dil bekrar ab bhi hai,
Abhayein kyon
mit-ti nahi,
Umeede kyon ghat-ti nahi,
Dhuan dhuan dil ka jahan
hai,
Mein heraan hoon,
phir bhi kyon arman jawan hai,
Mein
heraan hoon..
K kiyon mujhey tum se itna pyar hai,

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey,
Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon

Sun tiffl se dil yoon preshaan na ho

Sun tiffl se dil yoon preshaan na ho......
Ik nei"Gham-e- soghat "se hairaan na ho..........


Tu dia hai tu jal ase hi hr kahin mere sungh sungh.....
K jese charag-e- shart ab k hawa ho,bundh makaan na ho......


Ab k ghum yoon hain moulik meri sanson main.....k..
jese sustanay ko paon tale zameen.sir chupnay ko asmaan na ho.....


sabhi takazaay pore tu kiye thay aye dil tere hum ne.....
ase duba hua hai tareekyon main phir b jese roshni ka samaan na ho

yoon saja rakhi hai bazm-e-ashaar teri yadon k phoolon se...
k sabhi kuch mayyasir ho zaindgi ko mazeed koi armaan na ho..

Teray Honto Ko Jab see Du Mein Apne Honton K Dhaagay Se

Teray Honto Ko Jab see Du Mein Apne Honton K Dhaagay Se,
Ik
Samtay Me Khamoshi Se Teri Baanhon Ne Mujh Ko Ghaira Ho,
Dono
Liptain Ik Doojay Me Ik Gaanth Si Lag Jaye Badno Me,
Mere Jism
May Ghar Mil Jaye Tujhe,
Tere Jism May Mera Basera Ho, Dil
Chahta Hai
Kuch Aisa Ho,
Tu Ban Jaye mein,
Mein Ban Jaon
Tu,
Bistar Pe tere Mere Siwa Junoon,
Pyar Aur Khamoshi Ka Daira
Ho...

Ek ajab si paheli hai zindagi

Ek ajab si paheli hai zindagi,
sabke saath hote huye bhi, akeli
hai zindagi,

kabhi tu ek piyaara sa armaan hai zindagi,
to
kabhi dard se bharaa tufaan hai zindagi
,
kabhi to gulon se
bharaa gulistan hai zindagi,
to kabhi kanton se bhaara raasta
hai zindagi,

kabhi phulon jaisi masoom ho jati hai
zindagi,
to kubhi gunahon ka bojh ban jati hai zindagi

koi to
bataa de mujhe kya hai zindagi ?
sunaa hai chand roz ki mehmaan
hai zindagi,

zindagi ko chhod ek din jaana padegaa,
mott ko
uss pal galen lagaana paregaa,

zindagi se chahe jitnaa piyaar
tum kar lo,
hoti to aakhir bewaffa hai zindagi

Tu nahin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa

Tu nahin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa
duur tak tanhaaiiyon kaa silasilaa rah jaayegaa

dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase
sab dhuaan ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa

yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar
ye bhii hogaa Khud usii men ek Khalaa rah jaayegaa

daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar Tutay kabhii to faasalaa rah jaayegaa

Gila to aap se ha aur be-sabab bhi nahi

Gila to aap se ha aur be-sabab bhi nahi

magr irada-e-izhaar
zeir-e-lubb bhi nahi

ma chahti hun k apni zuban se kuch na
kahun

ma saaf-go hun magr itni be-adab bhi nahi

jafaa ki
tarha mujhe tark-e-talluq bhi qubool

malaal jab bhi nahi tha
mujhko or ab bhi
nahi..!

Kabhi Na Hathon se Haath Chhoote Khayal Rakhna

Kabhi Na Hathon se Haath Chhoote Khayal Rakhna

Kabhi Na Chahat
Ka Mann Toote Khayal Rakhna

bacha k Rakhna Muhabbat Ko
Rehzanon Se

Wafa Ki Dolat Jafa Na Loote Khayal Rakhna

Jo Ho
Muhabbat to Ranjeshon Se Goraiz Karna

Kisi Ka Naazuk Saa DIL
Na Tootey Khayal
Rakhna.

Mor Lena Kaman Ki Had Tak

Mor Lena Kaman Ki Had Tak

Hosla Hy Chattan Ki Had Tak

Dil
Me Mohabat Bhari Hy Shahkar

Go Bura Hun Zuban Ki Had
Tak

Masjidain Ho Gai Hain Veeran Yaro

Bus Ehtaram Hy Aazan
Ki Had Tak

Khouf Ne Is Qadar Kar Dia Tanha

Ho Gaye Makin
Makan Ki Had Tak

Koi Pehchanta Nahi Humko

Hum Gaye Thay
Uraan Ki Had Tak

Aish-o-Tarb Unko Hi Mayasar Hy

Jo Bik
Chuky Hain Emaan Ki Had Tak

Aaj Ehsas Ho Gaya Mujhko

Pyar
Hy Per Bayan Ki Had Tak .

Chalo Khuwab Aankhon Main Saja Kar Dekhte Hain

Chalo Khuwab Aankhon Main Saja Kar Dekhte Hain

Chalo Hum Kisi
Ko Apna Bana Kar Dekhte Hain,

Khoon Ke Rishton Se Aitbaar To
Uth Gaya,

Chalo Benaam Rishtay Bana Kar Dekhte
Hain,

Zindagi Aasan Ho Jaye Shayad Hamari,

Chalo Hath Ki
Lakeerein Mita Kar Dekhte Hain,

Andheri Shab To Kisi Surat
Katti Nahi,

Chalo Ghar Apna Jalla Kar Dekhte Hain,

Humein
Maloom Hai Ke Tum Ne Hamara Hona Nahi,

Chalo Tum Per Ye
Zindagi Luta Kar Dekhte
Hain..

Na gila kya na khafa huey yunhi raste main juda huey na wo

Na gila kya na khafa huey
yunhi raste main juda huey
na wo
bewafa tha na main bewafa,
jo guzar gya so guzar gya,
wo ghazal
ki aik kitab tha,
wo gulon main aik gulab tha,
zara dair ka koi
khwab tha,
jo guzar gya so guzar gya,
wo udas dhop samait kar
kahin wadion main uter gya
usey ab na de maire dil sada,
jo
guzar gya so guzar gya
ye safer bhi kitna taveel hy
yahan waqt
kitna qaleel hy
kahan laut kar koi aaye ga,
jo guzar gya so
guzar gya ...

bujhay bujhay se ajeeb din hain, na khwab hai na khayyal koi

bujhay bujhay se ajeeb din hain, na khwab hai na khayyal koi

na manzaroN mein koi kashish hai, na mausamoN mein jamal koi


hum ek doojay ko apni apni adhoori aankhoN se dekhtay hain

hamari barsoN ki chahatoN par utar raha hai zawaal koi


jo hansna chaheN to ashk nikleN, jo rona chaheN to hanstay jayeN

hamaray jazbaat girvi rakh kar bana raha hai misaal koi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...