Search Your Query

Custom Search

Sunday, 3 April 2011

koi din gar zindagani aur hai apne ji mein hamne thani aur hai


koi din gar zindagani aur hai 
apne ji mein hamne thani aur hai 

atish-e-dozakh mein ye garmi kahan 
soz-e-gam hai nihani aur hai 

barha dekhin hain un ki ranjishen 
par kuch ab k sargirani aur hai 

dek khat munh dekhta hai namabar 
kuch to paigam-e-zabani aur hai 

qata-e-amar hai aksar nujum 
wo bala-e-asmani aur hai 

ho chukin "Ghalib" balayen sab tamam 
ek marg-e-nagahani aur hai

Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,


Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya,

Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai SanaM Pehra Tera,

Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai,
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai,

Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera,

Pyaar Mein HuM SanaM Ye Sara Jag Bhula Denge,
Mar Ke Waade Chahaton Ke HuM Nibha Denge,

Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera...

Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai


Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peeche


yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peeche
kay hazaaroo gam lage hain meri zindagi kay peeche

na to dil ka koi maqsad na to meri koi manzil
main chala hoon kiyoon na jane kisi ajnabi kay peeche

teray aastan say sar ko main uthao ga na hergiz
main kahan kahan na bhatka teri bandagi kay peechay

mujhe keh kay tum sharabi na karo jahan mein ruswa
koi raaz bhi to ho ga meri meh-kashi kay peeche

koi un say ja kay itna zara ai "Shakeel" keh day
main hua jahan mein ruswa teri aashqui kay peechay

yeh sila mila hai mujh ko teri dosti kay peechay
kay hazaaroo gam lage hain meri zindagi kay peeche

Dil ka rishta hai hamara


Dil ka rishta hai hamara

Dil ke kone mein naam hai tumhara

Har yaad main hai chehra tumhara

Hum saath nahi to kya hua

Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara

Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,

Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,

Chandni raton mein aye gi meri yaad,

Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.

Janay Yeh Kesa Rishta Hai


Janay Yeh Kesa Rishta Hai

Yeh Kaisa Bandhan Hai?
Main Akser Sochti Hoon,

Kiya Rishta Hai,

Mera Tum Say

Aisa Kia Hai Tum Main,

Jo Mujhay Tum Say Bandhay Howa Hai,

Kiya Yeh Pyaar Hai.

Ehsaas Hai?

Dhokha Hai?

Ya,

Aziyat Hai?

Janay Kesa Rishta Hai?

Jis Main Wafa Nahi Jafa Hai,

Jis Main Pyaar Nahi,

Aziyat Hai,

Jis Main Tum Nahi,

Tumhara Feraib Hai,

Janay Main Kyun

Tum Say Dorr Ho Nahi Paati,

Tumhara Har Teer Sahi Jaati Hoon,

Tumhari Har Baat Mera Dil Ko Cheer Deti Hai

Tumhari Har Aziyat Mujhay Qabool Hai,

Janay Yeh Kesa Rishta Hai,

Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye


Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye
Hum ne Aankhon se Ishara kya to Bura Maan gaye

Baat Baat per Muskurana Unki Aadat thi,
Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye


Hamein Aazmane ki Baat karte they Aksar,
Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye


Pyaar mai Be-Wafai na karna Wo Kehte they,
Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai


Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

Ban ke lahu takh/leeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

Eik ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam
Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum
Jo baat samajh na aayay yahaaN woh baat ruhaani lagti hai

Us se baRh kar bhi haseen hoNgay "sagar" magar
Achi itni phir kyuN mujhko woh dewani lagti hai

Auron ko khush karte rahay aur khud gham sehte rahay


Auron ko khush karte rahay aur khud gham sehte rahay
zindagi bhar hum ek gham gusaar ki talaash karte rahay

Na koi hamraaz mila, na koi hamsafar ka saath
Jahan bhi gaye, sirf yaad-e-maazi ko saath karte rahay

Hain rooh ussi dehleez par, bas jism hain yahan
kis ka hai yeh kasoor, bas yahi sochthe rahay

Yuon to manzil saamne thi magar hamay na thi koi talab
Karwan guzar tay rahay aur hum sirf dektay rahay

Khud pay afsos karnay se ab kia faiyda hoga, Dost
tum apnay liye kab, sirf dusron kay liye jeetay rahay

Tujhse milne ki aas mein jee raha hai koi


Tujhse milne ki aas mein jee raha hai koi
Itna bhi zaalim na bun zaher pi raha hai koi

Mohabbat karke na nibhaana bewafaai hoti hai
Teri bewafaai ka ilzaam apne sar le raha hai koi

Gar bhulna hi tha to mere pyar ko na azmaate
Tujhko paane ke liye har imtihaan se guzar gaya hai koi

Na aur sitam karna tu ke jaga nahi ab zakhmo ke liye
Ek kona bacha tha dil mein teri tasveer liye baitha hai koi

Aye sangdil ek nazar dekh le tujhse bichhde pyaar ki taraf
Apni laash ko tere pyaar mein aaj kaandha de raha hai koi

ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota


ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadke hoti kabhi benisaar hota

na maza hai dushmaNi meiN, no hai luTf dosthi meiN
koi ghair-ghair hota koi yaar-yaar hota

ye maza tha dillagi ka, ke baraabar aag lagti
na tumhe qaraar hota na humeN qaraar hota

tere waade par sitamgar abhi aur saBr karte
agar apnee zindagee ka hume aitbaar hota

Teri Bevafayi Ka Shukriya, Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya,


Teri Bevafayi Ka Shukriya,
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne Vo Maza Diya,

Ye Bahar Kaisi Bahar Hai,
Na Chain Hai..Na Karar Hai, 
Ye Chaman Main Kaisi Hawa Chali,
Ki Chirag Dil Ka Bujha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Na Khushi Rahi Na Vo Gham Raha,
Na Vo Tu Rahi Na Vo Dil Raha,
Tune Kya Ye Mujh Pe Sitam Kiya,
Tune Khub Dil Ko Sila Diya, 
Tere Gham Main Chain Sa Mil Gaya,

Vo Mile To Kehna Aye Dost 
Ki Tumharay Gham Main Udas Tha,
Teri Bevafai Ka Shukriya,
Tune Usahe Jeena Sikha Diya,
Vo Tujhe Na Dil Se Bhula Saka,
Jise Tune Dil Se Bhula Diya, 
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne Vo Maza Diya,

Teri Bevafai Ka Shukriya,
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya

Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din


Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din....
piyar hota hay kia yeh dikhlayon ga ek din......... ..

teri sangg-dili ko sehtay sehtay main,,,,
apni jaan say guzer jayoon ga Ek din.....

apni chahtain sari tujh pay waar kay ,,,,
piyar karna tujhay bhi sikhaoon ga ek din.....

jee na pay gi tu bhi ho kay juda mujh say ,,,,,
aisa piyar tujh say kar jayoon ga ek din....

andhairon main dhondte rah jaiy gi mujh ko ,,,
aisi BAY-RUKHI dikhlaon ga ek din......... ...

kho kay mujh ko bohat pashtay gi sanam tu ,,,,
wafa aisi tujh say kar jaoon ga ek din.........

aisi deewangi say chahoon ga tujh ko ,,, ,,,,
bhool jaoo gi tum bhi sara jahan ek din......

Jaan Teri Bhi Luboon Pay Aaa Jaye Gi ,, ,,
Ban Kay Khak Jab Matti Mai Mil Jaoon Ga Ek Din

HUmarey Saffar Mein HUmarey Sath Bas Dil-jAlli Sii Fiza Nahi


HUmarey Saffar Mein HUmarey Sath Bas Dil-jAlli Sii Fiza Nahi
Kuch TiShnagii Kii Sa'atien Kuch UdaaSiyOun Key Lamhey Bhi HAin

HUmien ROzgaar e Hayaat Ney Kaii MajbOoriyOun Mein Jakar Diya
So Yeh WajOod TO Apni Jaga Sahii Par Zindgii Sey Gilley Bhi HAin

HUmien Dey Key hOsh e Aagahii YOun Sapurd e Aazaab Kiya K hUm
FaQt PhOol Ban Kar Khilley Nahi ChiRagh Ban Kar jAlley Bhi HAin

Teray InteZar Mein Raat Bhar hUm Shamma Key Sath ROye Bhii
Chaand Key Sath Jagey Bhi Aur SOoraj Key Sath Dhaley Bhi HAin

DUaien Bhi Kii bOhet Magar TUjhey dhOondney Key WaaStey
Sang Chaak e Gir e Baan Key HUm Khaar Khaar Chaley Bhi HAin

HUmien QiSmatOun Kii Kitaab Key Har Baab Sey hAin Shikayatien
HUm Ney tO Suna Tha In Mein Sab BUrey Nahi Kuch Bhaley Bhi HAin

Is DAsht e JUnOon Key Haath Sey BaChaye Rakhey Sabhi kO RAAB
WO Azaab jO TU Ney FaQt Suney wO Azaab HUm kO Milley Bhi HAin

Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain


Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,

Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!

Honay lagi Nafraten Muhabton k shehar mein,


Honay lagi Nafraten Muhabton k shehar mein,
Hum Huy boht Ruswa Muhabton k shehar mein,

Kal Raat aik Darvesh Bhooka hi §o gya
Kese Rehtay hein Log Muhabton k shehar mein,

Kisi ne Pyar dya na kisi ne Ehsas kiya
Aik Majnu Mar gya Muhabton k shehar mein,

Gulaab Hont, §hagufta chehray gay kahan..?
Q band pare hen ye makaan Mohbaton k shehar mein,

Tum ne q likh di hy Mohabat pe Ghazal SAGAR
Jise prhta nahi koi Mohbaton k shehar mein........!

Chilman Sey Lagey Bathaiy Hain Shoq_E_Deedar Liyay


Chilman Sey Lagey Bathaiy Hain Shoq_E_Deedar Liyay
Kab Uthey Ga Perda Serbasta Razon Sey

Dhoop Ki Tamazet Ney Badal Diya Rung Apna
Zooq_E_Haya Ney Bitha Rakha Hey Khamoshi Sey

Mehfil_E_Shaboroz Kesey Guzer Jati Hey Chup Chap
Dildari_E_Dildar Ki Hamnawi Ki Umeed Sey

Arzuwain Aur Umangain Shikesta Dili Per Hain Khatam
Chaakey Gireban Chaak Hey Khoni Arzuwon Sey

Sair Hasil Guftugu Ki Umeed Hain Laa Yani Yadain
Dukh,Deewangi Kareeb Ter Hain Roz_E_Mehsher Sey

Shub_E_Hijran Main Sung_E_Raah Honey Ka Hey Yaqeen
Wafa Ka Daman Chohttaa Naheen Arzaan Zindagi Sey

Zara sa aasmaan diya hota meri wafaaon ka sila diya hota


Zara sa aasmaan diya hota
meri wafaaon ka sila diya hota
maanga tha kuch pal ka saath
mere hisse ka pyaar diya hota

na gila hota tujh se kabhi bhi
meri shikayaton pe nazar kiya hota
intezaar-e-sanam jaan leva ehsaas hai
mere pyaar ka ehsaas sangdil zara hota

har kadam par jhoote waade kiye hai
tere kasmon ka sahaara to mila hota
jhooti aas main jee leti zindagi
kaash laut aane ka waada kiya hota

na umeed ki koi kiran nazar aati hai
tere pyaar ne yun tabaah na kiya hota
na ho raha hai yakeen teri bewafaai ka
kaash teri farebi baaton ko jaan liya hota

paa liya tune kinaara doobo ke mujhko
majhdaar main kashti ko doboya na hota
kinaare ki umeed main tayarti rahi
kaash hasraton ka kinara kareeb hota

Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui


Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui
Phir Sham Usko Main Kahoon Ya K Kahoon Main Zindagi

Payar Ho Challka Hua Teri Niggah K Jaam Se
Surmaai Sa Phelta Ho Rang Uffaq Per Shaam Se
Bazo’oun Ki Qaid Main Ho Ik Badan Simta Hua

Khamoshi Main Goonjti Ho Do Dilon Ki Ik Sada
Ho Ulajhti Saans Main Jesay Shara’rat Saans Ki
Rooh Ko Choonay Lagay Jesay Hararat Saans Ki

Hath Main Ho Chooriyon Ki Dheemi Dheemi Si Khannak
Madham Madham Roshni Main Narm Anchal Ki Dhannak
Hont Hoon Tere Gulaabi Chalki Chagal Ki Tarah

Surmaai Si Phail Jaye Shaam Kajal Ki Tarah
kash So Jao Kabhi Tum Rakh K Sar Aghosh Main
Doob Ker Ankhon Main Teri Ham Rahain Na Hosh Main

Kaash K Mujhko Atta Kar Do Koi Aisa Hi Kal
Kaash Tham Jain Wo Lamhay Or Tham Jain Wo Pal
Wassal K Lamhay Atta Kar Do Mujhay Ik Din Kabhi

Yoon Milain Tum Se K Phir Na Hoon Juda Tum Se Kabhi
Phir Chalay Janay Ki Jana! Baat Na Aye Kabhi
Buss Aik Shaam Day Do Phir Raat Na Aaye Kabhi

apnay asool yun bi kabhi tornay paray


apnay asool yun bi kabhi tornay paray
uski khata thi hath muje jornay paray

aya na jab qarar dil-e-be-qarar ko
yadoo kay rukh tumhari taraf mornay paray

un ko to meri yaad bhi na ayee bhool ker
apnay paraye humein jin kay liye chornay paray

woh shahks hud bara ba-asool tha
humein apnay asool jis kay liye tornay paray!!!

Dil ko bekaraar karna hoga. Ishq mein takraar karna hoga


Dil ko bekaraar karna hoga.
Ishq mein takraar karna hoga

Lamah lamah zindgi ka
Bas intazaar karna hoga.

Rishton ka barosa nahi raha
Chahaat ko inkaar karna hoga

barosa tha tun par bahut
Dil tootne ka ikraar karna hoga

Gam ke badal beshumaar hai...
Saanson ko gamkhwaar karna hoga

Zakham diye khaksaar ne itne
Rooh ko bazaar karna hoga

Pyaar mein badha dard hai
“Sial”Sehan baar baar karna hoga...

us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai


us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai
main jiyu ga tere bagair bhi muje zindagi ka shaoor hai

na hawas hai mujh mein janab ki,na talab saba-o-shabab ki
teri chashm-e-naz ki hair ho,muje bin piye hi saroor hai

joh samjh liya tuje bewafa to is mein teri bhi kiya khata
yeh hayal hai meray dimag ka,yeh meri nazr ka qasoor hai

main nikal kay bhi teray daam say na giroo ga apnay muqaam say
main Qateel-e-joro sitam sahi muje tum say 'ISHQ' zaroor hai! ! ! !

Ta'aluk toot jayee ga mera saray zamanay se


Ta'aluk toot jayee ga mera saray zamanay se
meray apnay khafa hoon gay tumein apna bananay say...
tumharay sath rehnay say muje taskeen milti hai
bohat takleef hoti hai tumharay door janay say...
meray gher ko jala daina magr yeh zehan mein rakhna
ujala mil nahi sakta kisi ka gher jalanay say...
hamari 'JAAN' jayee gi to phir yeh jaan jao ge
kay haasil kuch nahi hota kisi ko aazmanay say...
tumhara naam kaisay mita doo main apni kahani say
bohat gehra ta'aluk hai tera meray fasanay say! !

mere aaNsuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke Khafaa na ho


mere aaNsuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke Khafaa na ho
use zindagii kaa bhii haq nahii.n jise dard-e-ishq milaa na ho

ye inaayate.n ye navaazishe.n mere dard-e-dil kii davaa nahii.n
mujhe us nazar kii talaash hai jo adaa shanaas-e-vafaa na ho

tujhe kyaa bataauu.N mai.n beKhabar ki hai dard-e-ishq me.n kyaa asar
ye hai vo latiif sii kaifiyat jo zubaa.N tak aaye adaa na ho

ye sharaab rez-e-hasii.n ghaTaa jo hai "Kaif" naazish-e-mayakadaa
kisii tashnaa-kaam kii aarazuu kisii tashnaa-lab kii duaa na ho

abhi kuch dair baqi hai khizan ke beet jane mein


abhi kuch dair baqi hai
khizan ke beet jane mein
gulon ke muskurana mein
khushi ke geet gane mein
baharon ke zamane mein
abhi kuch dair baqi hai
main tum ko bhool jaon ga
na tum ko yaad aaon ga
main tum se dur reh kar bhi
tumhen ji kar dikhaon ga
tumhen maloom hai lekin
ye sab main kar na paon ga
ke tum ko bhool jane mein
abhi kuch dair baqi hai

khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun mai


khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun mai
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun mai

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun mai
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun mai

kuch din ka hun mehmaan hubaab sa hun mai
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun mai

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun mai
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun mai

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun mai
bigre huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun mai

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun mai
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun mai

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun mai
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun mai

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun mai

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun mai
haqiqat ho kar bhi kyon "ADE" khwaab sa hun mai

Lagta nahin hai jee mera ujre dayar main


Lagta nahin hai jee mera ujre dayar main,
Kiski bani hai aal main na paaydar main.

Kehdo in hasraton se kahin aur ja basen
Itni jageh kahan hai dile dag daar main.

Umre daraz maan ke layee the chaar din,
Do aarzo main ket gaye do intezaar main.

Kitna hai badnasib 'Jafer' dafen ke liye
Do gaz zamin bhi na mili kooye yaar main

Sakoot-e-qarb mein utroo ge to yaad ker laina


Sakoot-e-qarb mein utroo ge to yaad ker laina
kabi jo toot ker bikhro to yaad ker laina

khushi kay waqt mein chahay humein bhula daina
gamoo ki rah jo daikho to yaad ker laina

ganwaa na daina kahin umer pashaimani mein
khud apnay aap say uljho to yaad ker laina

mana kay tum guftagu kay mahir ho
'WAFA' kay lafz per 'ATKO' to yaad ker laina...

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din


Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
.
Tumhare Dil Mai Utroon Ga, Muhabbat Ki Sada Ban Ker
.
Mere Josh-e-Janoon Per Sari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
.
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho Yun Hassen Ban Ker
.
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon, Ke Akser Chaand Ratoon Main
.
Tere Aangan Mai Aata Hoon Sitaron Ki Zaya Ban Ker
.
Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
.
Hatheli Per Racha Lena Yeh Mehkey Ga Heena Ban Ker
.
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kesey Jaan Sulagti Hai
.
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho ‘Raza’ Ban Ker

main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon


main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon
isi lagan mein kayee shamain guzaar daita hoon

main yunhi her eik say be-rabta nahi milta
her shahks ko us ka mayaar daita hoon

main gam ki kashti ko dabona nahi chahta
bho'j bher jayee to kuch utaar daita hoon

khushiyaan koi mangay to muft daita hoon
gam mangay koi to udhaar daita hoon

badla laina meri fitrat mein nahi
khizaan kay badlay bahaar daita hoon!!!

Raha Yun hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq ka Fasana


Raha Yun hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq ka Fasana
Kabi Ana ko Neend aa gayi, Kabi so gaya Zamana

Tum apne Husn-e-Bekhud ko Shikast se bachana
Meri her Nazar Jalwa hai, Mere samne na aana

Teri Aashqi se pehley Mujhe kon janta tha?
Tere Ishq ne bana dia Meri Zindagi ka Fasana

Mujh ko is ka Gham nahi k badal gaya Zamana
Meri Zindagi hai Tum se hai, Kahin Tum badal na jana

Ajab sham khari hai kahi say aa jao


Ajab sham khari hai kahi say aa jao
Bari udaas ghari hai kahin say aa jao

Kisi say milna aur mil kay bicher jana
Saza yeh itni bari hai kahin say aa jao

Bara kathin hai yeh hijer ka mosam
Judayee bol pari hai kahin say aa jao

Zamana jisay samjhta hai motiyoo ki chamak
Woh ansoo ki lari hai kahin say aa jao...

Tere Bare Mai jab socha Nahi tha


Tere Bare Mai jab socha Nahi tha,
Mai tanha tha Magar itna nahi tha,


Samander Ne mujhe rakha piasa,
Mai jab sehra Mai tha piasa Nahi tha,


Teri tasveer se kerta tha Baatain,
Tum se Baat kerne ka hosla nahi tha,


Ruth-ne Manane tak ki Baat theek thi,
Yun Bichar jay gay socha nahi tha,


Hansate rahe sub ko hum,
Koi rula de ga jate hue socha Nahi tha,


Zindagi to hai Bewafa,
Tum B Chor Do gay sath socha Nahi tha

Jab tera dard mere sath wafa kerta hai


Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,
Ik samander meri aankhon se baha kerta hai ,

Uski batein mujhe khushboo ki tarha lagti hain
Phool jaise koi sehra mein khila kerta hai....,

Mere dost ki pehchan yehi kafi hai ......
Wo har ik shakhs ko danista khafa kerta hai,

Aur to koi sabab usski muhabbat ka nahi ,
Baat itni hai ke wo mujh se jafa kerta hai,

Jab khizaa'n aye gi luat aye ga tab wo bhi Faraz,
Wo bahaaron mein zara kam hi mila kerta hai.....

Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota


Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota 
Dil mein hai jo baat kabhi Hamein bhi bataya Hota 


Hum ne bulaya tha tumhein kayi baar Sanam 
per tum na Aaye 

Mohabbat se na sahi nafrat se hi Hamein 
kabhi bulaya Hota 


Yaadein leker jee rahe hain hum Teri 

Aye Bewafa Sanam 
Gham to bohat diye tu ne kabhi 

khushi se bhi Hamein Nawaaza Hota 

Jis tarha jal rahi hoon mai is Mohabbat ki aag Mein 
Kaash tu ne bhi kabhi khud ko is aag mein jalaya Hota 

Khud to jee rahe ho khushi se bhula ker Hamein 
Aaye Zalim ye bhoolne ka hunar kaash Kabir 
ko bhi sikhaya Hota

Harf -E- Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai


Harf -E- Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqat Bhi Ho Sakti Hai

Zindagi Phool Hai Khushbu Hai Mager Yaad Rahey
Zindagi Gerdish E Halaat Bhi Ho Sakti Hai

Hum Ne Yeh Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala O Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai

Chaal Chaltey Huwey Shatranj Ki Bazi K Asool
Bhool Jao Ge To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai

Aik To Chat K Bina Ghar Hai Hamara
Us Pe Yeh Khof K Bersat Bhi Ho Sakti Hai

Tere mere dermiyaan to pyaar tha


Tere mere dermiyaan to pyaar tha 
Yeh dooriyan yeh faslay 
Yeh bay waja ki furqatain 
Aee kahan say hain 
Hum bhi wohi tum bhi wohi 
Sab kuch wohi jo kal raha 
Waisay hi roz-o-shab 
Waisi hi zindagee 
Waisa hi aitbaar 
Lakin yeh kya kay soch tum 
Bay kaar hi khafa ho 
Hum nay to aaj bhi 

apni yaad say tumahri 
Sajaye rakhi shaam 
Anjaan tum huay 
Mere Pyaar kay 

Iqrar say ........

Mujhe aarzoo-e-sehar rahi yun hi raat bari dair tak


Mujhe aarzoo-e-sehar rahi yun hi raat bari dair tak
Na bikher saka na simat saka yun hi raat bari dair tak

Hai boht azaab aur akailay hum,aur shab-e-gam bhi taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi ankh tar bari dair tak

Yahan her taraf hai alag saman, sabhi hud pasand sabhi khud numa
Dil-e-beqrar ko na mil saka koi charagar bai dair tak

Mujhe zindagi hai azeez tar,isi waste meray hamsafr
Muje qatra qatra pila zehar jo karay asar bari dair tak ...!!!

Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha


Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha
Kabhi mur kay yeh bhi to daikhta kay mera wajood zameen tha

Woh hi eik sach tha aur us kay baad sari tuhmatain jhoot hain
Meray dil ko poora yaqeen hai kay woh mohabbtoo ka ameen tha

Usay shok tha kay kisi jazeeray pay us kay naam kay phool hoo
Mujay payar kerna sikha gaya mera doost kitna zaheen tha

Kabhi sahiloo pay phiroo gay to sippiyaan hi tumein bataye gi
Meri ankh mein jo simat gaya woh ashk sab say haseen tha...!!!

Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi


Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi
Dono insaan hain Khuda tum bhi nahi main bhi nahi

"Tum Mujhe" aur main tumein ilzaam daity hain magr
Apnay ander jhanktay tum bhi nahi main bhi nahi

"Maslehat" nay ker dia paida dono mein ikhtilaaf
Werna fitrat kay buray tum bhi nahi main bhi nahi

Mukhtalif simtoo mein dono ka safr jari hai
Ik lamhe ko ruke tum bhi nahi main bhi nahi

Chahtay dono boht eik dosray ko hain magr
Yeh haqeeqat mantay tum bhi nahi main bhi nahi

us ne phool bheje hain phir meri ayadat ko


us ne phool bheje hain
phir meri ayadat ko
aik aik patti mein
un labon ki narmi hai
un jameel hathon ki
khushgawar hiddat hai
un lateef sanson ki
dilnawaz khushbo hai

dil mein phool khilte hain
rooh mein charagan hai
zindagi mo'atar hai!

phir bhi dil ye kehta hai
baat kuch bana leta
waqt ke khazane se
aik pal chura leta
kash wo khud aa jata!
bas
kash wo khud he aa jata

Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa


Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa
Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha

Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar
Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha

Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay
Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha

Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana
Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha

Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...