Search Your Query

Custom Search

Friday, 4 February 2011

Loog kehtay hain Ishq ka rona


Loog kehtay hain Ishq ka rona
Garya-e-Zindagi se aari hai
Phir bhi yeh Na-Murad Jazba-e-Dil
Aqal ke falsafoon pe bhari hai
Aap ko apni baat kya samjhaoon
Rooz bujhtey hain hoosloon ke Kanwal
Rooz ki Uljhanoon se takra kar
Toot jatay hain dil ke Sheesh Mehl
Laikin aapus ki Taiz batoon per
Sochtay hain Khafa nahin hotay
Aap ki Sinf main bhi hai yeh baat
Mard hi be-wafa nahin hotay

Main shayaad tum ko Yaksar bhoolnay wala hoon


Shayaad


Main shayaad tum ko Yaksar bhoolnay wala hoon
Shayaad Jaan-e-Jaan, Shayaad
Ke ab tum mujh ko pehlay se ziyaada Yaad aati ho
Hai dil Ghamgeen, bohot Ghamgeen
Ke ab tum Yaad dil Daarana aati ho
Shamim-e-Dooor maanda ho
BOhot Ranjeeda ho mujh se
Magar Phir bhi
Mishaam-e-Jaan main meri Aashti Mandaana aati ho
Judaii main Bala ka Iltifaat-e-Mehrmana hai
Qayamat ki Khabar geeri hai
Be-hud Naaz bardari ka ALam hai
Tumharay Rang mujh main aur gehray hotay jatay hain
Main Darta hoon
Meray Ehsaas ke is Khuwaab ka Anjaam kya hoga
Yeh meray Andaroon-e-Zaat ke Taraaj gar
Jazboon ke Bairi waqt ki sazish na ho koi
Tumharay is tarhaa Har lamha yaad aanay se
Dil Sehma hua sa hai
To phir Tum kum hi yaad aaoo
Mata-e-DIl, Mata-e-Jaan phir Tum kum hi Yaad aaoo
BOhot kuch Beh gaya hai Sail-e-Mah-o-Saal main ab tuk
Subhi kuch to na Beh jayee
Ke meray Paas Reh bhi kya gaya hai
Kuch to Reh jayee

ik gali thi jab us se hum niklay


ik gali thi jab us se hum niklay
aise niklay ke jaise damm niklay

jin se dil ka moaamla hota
yaa.n bht kamm hi aise ghamm niklay

koocha-e-aarzoo jo tha us mein
zulf-e-jaana.n tarha ke khamm niklay

jo phire dar ba dar yahaa.n woh log
apnay baahar bohot hi kamm niklay

aag dil sheher mein lagi ji din
sab se aakhir mein waa.n se humm niklay

jaun yeh jo wujood hai yeh wujood
kya banegi agar adamm niklay?

shikwa yeh hai ke woh bhi woh nikla!
hai nadaamat ke hum bhi humm niklay!

Mohabat ka guman hota bohat hai


Mohabat ka guman hota bohat hai
k ab ye lafz bhi ruswa bohat hai

udasi ka sabab main kya btaon?
gali kuchon mein sanata bohat hai

na milne ki qasam kha ker b main ny
tujhy her rah mein dhoonda bohat hai

ye aankhain aur kya dikhain kisi ko?
in aankhon ne tujhe dekha bohat hai

na jane q bacha rakhay hain aansoo?
abhi shayad mujhe rona bohat hai

tujhe maloom to ho ga mere hamdam!
tujhe ek shakhs ne chaha bohat hai

Jee chuke hum bahut faqt apne liye


Jee chuke hum bahut faqt apne liye, gar jiye apnii khaatir to phir kyaa jiye
Hum pe ehsaan bhaarii zamaane ke hain, na zamaane kii khaatir jiye, kyaa jiye

Aaj apnaa watan raas aataa nahin, naujawaan chul pade aaj pardes ko
Is watan mein zahaalat, gariibii sahii, bewatan kii tarah gar jiye kyaa jiye

Chaahe aapas mein kitanii adaavat rahe, khuun ke rishte mitate nahin bair se
Rishte gairon se bun kar bhii bunate nahin, gair ke ghar mein jaa kar jiye, kyaa jiye

Aadamii kii hawas kyaa kabhii kum huii, jeb jitanii bharii utnii khaalii rahii
Paisa puuje kabhii bhii khudaa na mile, paise ke waaste jo jiye kyaa jiye

Pyaar apne se aur apne dil se sabhii, log karte hain karte rahe hain sadaa
Pyaar sacchhaa jo auron ke dil se kare, hain wahii jo Khalish asliyat mein jiye...

Tere' maqtal ki aabroo hum the


Tere' maqtal ki aabroo hum the'
Qatl ke' waqt baa wazoo hum the'

Ye' nadii ab kise' bulaati hai?
Pahle' to is ki justajoo hum the'

Apni basti ko yaad hai ke' nahin
Us ki galiyon ki hao hoo hum the'

Apne' kaam aa gaii wo mahroomi
Pyaas ke' din kinaar-e-joo hum the'

Apne' kuch khwaab yaad aane' lage'
Raat maazi ke' roo ba'roo hum the'

woh baat baat mein itna badalta jaata hai


woh baat baat mein itna badalta jaata hai
keh jis tarhaan koi wadda badalta jaata hai

Yeh arzoo thi keh hum us kay sath sath challain
magar woh shakhas tu rasta badalta jata hai

jo taiz dhoop mein sar par raha wohi anchal
hawa chali hai tu kitna badalta jata hai

ruttein visaal ki aab khawb honay wali hein
keh us ki baat ka lehja badalta jaata hai

woh baat kar jisay duniya bhi mo?atbar samjhay
tujhay khabar zamana badalta jaata hai

yeh arzoo thi keh hum uss kay sath sath chalain faysal
magar woh shakhas tu raasta badalta jata hai

har baat yahaa.N baat ba.Dhaane ke liye hai


har baat yahaa.N baat ba.Dhaane ke liye hai
ye umr jo dhokaa hai to khaane ke liye hai

ye daaman-e-hasarat hai vahii Khvaab-e-gurezaa.N
jo apane liye hai na zamaane ke liye hai

utare hue chehare me.n shikaayat hai kisii kii
ruuThii hu_ii rangat hai manaane ke liye hai

Gaafil terii aa.Nkho.n kaa muqaddar hai andheraa
ye farsh to raaho.n me.n bichhaane ke liye hai

ghabaraa na sitam se na karam se na adaa se
har mo.D yahaa.N raah dikhaane ke liye hai

Gham ko zanjeer kiya hay main nay


Gham ko zanjeer kiya hay main nay
Ye hunar bhi seekh liya hay main nay

Ab her ek hal main khush rehta hon
Sochna chor diya hay main nay

Tujhe to dekha to ehsas ye hoa
Khoa'ab taaber kiya hay main nay

Wo jo ek shakhs hay khushboo khushboo
Sang tha phool kiya hay main nay

Aik chehra hay kahan tak dekhon
Aa'ena toar diya hay main nay

Sach ka izhar ye hi hota hay
Raat ko raat kaha hay main nay

Apni qismat ko bana kar mehnat
Hath main qaed kiya hay main nay

Gumbad-e-shab k andheron main
Sobha ka naam liya hay main nay

hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN


hawas naseeb nazar ko kahiiN qaraar nahiiN
maiN muntazar houN, magar teraa intezaar nahiiN

hamiiN se raNg-e-gulistaaN, hamiiN se raNg-e-bahaar
hamiiN ko nazm-e-gulistaaN pe iKhtiyaar nahiiN

abhii na chheR muhabbat ke geet aie mutrib
abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN

tumhaare ahd-e-vafaa ko maiN ahd kyaa samjhouN
mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIN

na jaane kitne gile ismeiN muztarib hai nadeem
vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiiN

gurez kaa nahiiN qaa’il hayaat se, lekin
jo sach kahouN to mujhe maut naagavaar nahiiN

ye kis maqaam pe pahuNchaa diyaa zamaane ne
k ab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiiN

Mit gaya hun mujh ko mita rehnay do


Mit gaya hun mujh ko mita rehnay do
Meray jazbat k sholon ko bujha rehnay do

Dard sehnay ki ho gai hai ab aadat mujh ko
Meray ristay huay zakhmon ko hara rehnay do

Ab to tabeer ki hasrat he nahe hai mujh ko
Meri ankhon mein mera khawab chupa rehnay do

Muskurahat pe mera haq he nahe hai yaaro
Meray honton say tabassum ko khafa rehnay do

Dil jo toota hai to ankhein na chalak jayen
Aaj ankhon ko in ashkon say bhara rehnay do... .

Tujhe khud se ziyada chaha humne


Tujhe khud se ziyada chaha humne,
Aur khud se bewafayi ki,

Tujhe khushiya dekar apni, tere gam le liye,
Aur apni khushiyo se bewafayi ki,

Apne dosto ko bhool gaye tumse milkar,
Aur humne dosto se bewafayi ki,

Ek pal na teri yaad ne soney diya kabhi,
Aur apni neend se bewafayi ki,

Lo aaj has has ke humne jan bhi dedi,
Aur humne zindagi se bewafayi ki,

Likh diya humne hisab-e-zindagi aur tera nam na aaya,
zamane ne hisab mein bewafayi ki......!!!!

Wohe qissay hain wohe baat puraani apni


Wohe qissay hain wohe baat puraani apni
Kaun sunta hai bhala raam kahani apni

Her sitamgar ko ye hamdard samajh leti hai
Kitni khush feham hai kambakht jawani apni

Roz miltay hain dareechay pe naye phool mujhy
Chorr jata hai koi roz nishaani apni

Tujh say bichrray hain to paaya hai beyanban ka sakoot
Warna daryaaon say milti thi rawaani apni

Dushmanon say he ghum ka madaawa maangein
Doston ne to koi baat na maani apni

Aaj phir chaand ufaq per nahe ubhra hai
Aaj phir raat na guzray gi suhaani apni.... .

tere dar se uTh kar jidhar jaauuN maiN


tere dar se uTh kar jidhar jaauuN maiN
chaluuN do qadam aur Tha’hr jaauuN maiN

agar tuu Khafaa to parvaah nahiiN
teraa Gham Khafaa ho to mar jaauuN maiN

tabassum ne itnaa DaNsaa hai mujhe
kalii muskuraaye to Darr jaauuN maiN

sambhaale to huN Khud ko tujh bin magar
jo chhuu le ko’ii to bikhar jaauuN maiN

dil ki dargaah pe mannat koi mani jaye


dil ki dargaah pe mannat koi mani jaye,
umr bhar khaak isi dasht ki chani jaye

rok lo aankh meiN ik ashk, kahiN aisa na ho,
haath sy aakhri pyaaroN ki nishani jaye

mery qatil ko mery baad saza mat dena,
raaeigaN youNhi na pehchan purani jaye

pyaas ne kr diya sairaab bohat der hui,
koi khaimoN ki taraf ley k na paani jaye

zindgi tujh sy taaluq ki koi raah mily,
ji ko laahaq hay jo ehsaas-e-girani, jaaye

meri jholi meiN mujhy daal dey mola, werna
saaf keh dy k tery dar sy diwaani jaaye

Hum Bhi Kitney Dewaaney Nikley


Hum Bhi Kitney Dewaaney Nikley

Diye Say Andehra Mitaney Nikley

Gham-e-Dil Pe Hamare Jo Hasa Kartey Hain

Hum Unko Hi Haal-e-Dil Sunaney Nikley

Kaaghzi Phoolon Par Aati Nahi Bahaarain

Ye Jaan Kar Bhi Gulshan Sajaney Nikley

Dunia Me Bikti Hain Jhooti Kahaniyan

Sachey Afsaney Sab Hum Jalaney Nikley

Log Behtay Hain Bhar Ke Muthi Me Namak

Janey Kia Soch Kar Hum Zakham Dikhaney Nikley

Ab'r malboos-e-aab tha jaise


Ab'r malboos-e-aab tha jaise'
Chaand ko kuch hijaab tha jaise'

Kal achaanak wo yoon mila mujh ko
Koi pinhaan jawaab tha jaise'

Safha safha safar tha yaadon ka
Jalti bujhti kitaab tha jaise'

Adh'khili raat, an'kahe manzar
Raasta neem'taab tha jaise'

Chaandni ma' tuloo' hota hua
Raat ka aaftaab tha jaise'

Gehri taareekiyon ma' behta hua
Aik raushan gulaab tha jaise'

Raat bhar maire aariz-o-lab par
Bosa-e-maahtaab tha jaise'

Us ki aawaaz neem khwaabeeda
Phool saa zair-e-aab tha jaise'

So ke utha to mairi aankhon mein'
Us ki aankhon ka khwaab tha jaise'

terii zamiiN se uThTheNge to aasmaaN hoNge


terii zamiiN se uThTheNge to aasmaaN hoNge
ham aise log zamaane meN phir kahaaN hoNge


chale gaye to pukaaregii har sadaa ham ko
na jaane kitnii zubaanoN se ham bayaaN hoNge


lahuu lahuu ke sivaa kuch na dekh paaoge
hamaare naqsh-e-qadam is qadar ayaaN hoNge


sameT leejiye bhiige hu’e har ek pal ko
bikhar gaye jo ye motii to raayegaaN hoNge


udaas dil kaa Thikaanaa kisii ko kyaa ma’aluum
ham apne aap se bicchRe to phir kahaaN hoNge

Ye Gher Ye Gali Ye Shehar Chod Do


Ye Gher Ye Gali Ye Shehar Chod Do
Ya To Lut Jane Ka Der Chod Do.

Na Kuchh Hoga Hashil Wahan Se Tumhein ;
Kaha Mera Mano Wo Dar Chod Do.

In Kadmo.N Ko Roko Pehechano Waqt Ko;
Bhatakna Yu.N Sham-O-Shahar Chod Do.

Na Din Ko Shuku.N Hai Na Raton Ko Chain.
Ye Bekal Se Charo.N Pehar Chod Do.

Fasana Na Ban Jaye Ye Zindagi;
Is Kahani Ko Ab Mikhtaser Chod Do.

Na Fikra Karo Waqt Ki Tabdeeliyon Pe Tum;
In Masha-Il Ko Tum Waqt Per Chod Do.

Mai Zinda Hoon Maiy Ke Sahare Mastghan;
Wo Kehte Hain Peena zehar Chod Do.

Mala'im aazru khawhish shugufta, sham-e-rafta


Mala'im aazru khawhish shugufta, sham-e-rafta,
mahabbat aur nafrat ka wo jazba, sham-e-rafta....

hamary ishq ka joban kahani ban chuka hay,
tumhara bankpan ehd-e-guzishta, sham-e-rafta...

saNwarty ja rahy haiN aany waly din k sab khawb,
bikharti jaa rahi hay rafta rafta, sham-e-rafta,

mry saaloN ki mehnat raa'igaN jany lagi hay,
zara saya figan ho aik hafta, sham-e-rafta...

bhaTakty phir rahy haiN maavra k jangloN meiN,
mila kab raftagaN ko koi rasta sham-e-rafta!

haqeeqat me to ham sab kuch bhula beThy haiN faysal
magar wo aik shamm'e neim-kushta, sham-e-rafta...

Furqat ke paRe' ham pe jo asaraat na poocho


Furqat ke paRe' ham pe jo asaraat na poocho
Jo kehne' se qaasir haiN, wohi baat na poocho

Kuch rakh lo bharam mera, nidaamat se bacha lo
YuuN baz'm ma mujh se, merii aoqaat na poocho

Mar jaayeiN ge, taoheen-e-mohabbat na kareiN ge
Kya ehl-e-wafa kii haiN, rasoomaat na poocho

Wo chaahe' to bin saaghar-o-meena hi pila de
Yaaro mere' saaqii kii, karaamaat na poocho

AaNkhoN ke to saawan ko sabhii dekh rahe' haiN
Seene' ma hai jo tundii-e-barsaat na poocho

hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun



hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun
main tujhko paane ki aur tamanna kyon karun,

mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe bhi har pal
isliye bata de main tujhse wafa ki aas kyon karun,

rooh ko meri *** lagegi gar tu na mila mujhe
tujhe aapna banane ki, par dua kyon karun,

teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye
tujhe na chahne ki khata main bhala kyon karun,

farishtey bhi tadap jate hain, teri aankhon se jab ashq chalakte hain
ye dard tujhe dekar, main ye gunah kyon karun,

teri meri kismat ki rahein hain juda juda
main phir bhi teri ban jane ki dua kyon karun,

mana ki mohhabat bhari nazar dil pe ghera asar karti hai
tujhe pyaar se dekh kar tujhpar ye rehmat kyon karun,

itna dukhaya hai dil ko tune mere, itna rulaya hai mujhe
sab kuch sahun phir bhi, tujhse be-intihah mohabbat kyon karun....

Jo khayal thay na ke yas thay wohi log mujh se bicher gaye


Jo khayal thay na ke yas thay wohi log mujh se bicher gaye
Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain manta hi nahi yeah Dil ' Wohi log mairay hain humsafer
Mujhay her tarha se jo raas thay' Wohi log mujh se bicher gaye

Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon' Ke sarab aur sataien gaye
Mairy umer bhar ki jo Payas thay wohi log mujh se bicher gaye

Yeah khayal saray hain Aarzi' Yeah gulab hain saray kaghzee
Gul Aarzoo ki jo baas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain ker saka na kabool main ' wo shareek-e-safar howe
Jo mairy talab' mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Mairy dharkanoon ke kareeb thay' Mairy Chah thay' Maira Khawab thay
Wo jo Roze-O-Shab mairay paas thay wohi log mujh se bicher gaye

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein


Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi


kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi
Main apne haath se uski dulhan sajaon gi

supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaongi

badan ke karb ko woh bhi samajh na payega
main dil main roungi aankhon main muskroungi

woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se rooth sakoungi kise manaongi

woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukhaoungii

bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood
woh sou ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoungi

ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
main kis ki nazam akele main gungunaoungi

javaz dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaoungi

samaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paoungi

Khwahish Rahi Hai Teri Mere Dil Ke Aaspaas


Khwahish Rahi Hai Teri Mere Dil Ke Aaspaas
Aur Dur-Dur Tu Her Waqt Nazar Aayi Hain

Tu Ban Gayi Hai Tarana Kisi Aur Hi Ka Kahin
Mere Saaz-E-Dil Ko Ye Teri Khabar Aayi Hain

Lahu Mein Garmin Iss Tarhaa Ubal Kar Aayi
Jaise Ashkon See Nigaahon Mein Utar Aayi Hain

Shaam Tanhaayion Ki Koi Daastan Ho Bani
Ab To Mushkil Ki Her Ek Sahar Aayi Hain

Jo Bani Thi Kahin Dil Mein Majbur Meri
Wahi Tasvir Nigaahon Mein Ubhar Aayi Hain

Rang-E-Mehfil Mein Barbaadiyon Ke Fasaane Hain
Dur Bajti Hui Koi Gum-E-Ghazal Aayi Hain

Hai Mohabbat Bhee Chand Dino Ki Zustzu Apni
Aur Ye Zist Bhee Apni Gum-E-Basar Aayi Hain

Ho Gaye Hain Jo Veeran Jo Aasiyaane Mere
Kitni Dilkash Bahraan-E-Sahar Aayi Hain

Ku-ba-Ku phail gayee baat shanasai ki


Ku-ba-Ku phail gayee baat shanasai ki
Usnay Khusbu ki tarha meri pazeerai ki

Kese kehdooN chorr diya hai usnay mujhay
Baat tau sach hai, magar baat hai ruswai ki

Usnay jalti paishani pe jab haat rakha
Rooh tak phail gai taseer maseehai ki

Wo jahan bhi gaya, laota to mere paas aya
Bas yehi baat hai ek acchi, mere harjai ki

MohabbatoN pe buhut aitmaad kya kerna


MohabbatoN pe buhut aitmaad kya kerna
bhula chuke haiN usay phir se yaad kya kerna ??

woh bewafa hii sahii uss pe tuhmateiN kaisi
zara sii baat pe itna fasaad kya kerna

kuch isliye bhii maiN paspa hua hooN maqtal meiN
k behr-e-maal-e-ghaneemat jihaad kya kerna

mukhalifoN se to mumkin hai dostii apni
munafiqoN se magar ittehaad kya kerna

nigaah meiN jo utarta hai dil se kyuN utray
dil-o-nigaah meiN paida tazaad kya kerna

maiN isliye usay ab tak na chu saka faysal
woh aaina hai usay sung'zaad kya kerna

Hijar K Taray Doob Rahay Hain Dhalnay Lagi Hay Rat Wasi


Hijar K Taray Doob Rahay Hain Dhalnay Lagi Hay Rat Wasi
Qatra Qatra Baras Rahe Haya Aankhon Say Barsat Wasi

Teray Bad Ye Dunya Walay Mujhko Pagal Kr Dien Gay
Khushboo K Os Des Main Mujhko Lay Chal Apanya Sath Wasi

Yunhi Chup Ki Moher Laga Kr Kb Tuk Gumsum Betho Gay
Khamoshi Say Dam Ghut-Ta Hay Chhero Koe Bat Wasi

Aaj To Os ka Chehra B Kch Badla Badla Lgta Hay
Mosam Badla Dunya Badli Badal Gaye Halaat Wasi

Meray Ghar Main Khushboo Ka Ye Ruqs B Os K Dam Say Hay
Os K Saath Chali Jayegi Pholon Ki Braat Wasi

Chhor Wasi Ab Oski Yaden Tujhko Pagal Kr Den Gi
Too Qatra Hay Wo Darya Hay Dekh Apni Oqaat Wasi

kabhi tu moheet-e-havaas tha, so nahi raha


kabhi tu moheet-e-havaas tha, so nahi raha
maiN tere beghair udaas tha, so nahi raha

meri wus’atoN ki havas ka khaana kharaab ho
mera gaaoN shehar ke paas tha, so nahi raha

teri dastaras main theeN bakhshishaiN, so nahi raheeN
meray lab pe harf-e-sipaas tha, so nahi raha

mera aks mujh se ulajh paRa to girah khuli
kabhi maiN bhi chehra-shanaas tha, so nahi raha

meray baad noha-be-labb havaaeiN kaha karaiN
woh jo ik dareeda libaas tha, so nahi raha

maiN shikasta-dil hooN saf-e-’udu ki shikast par
woh jo lutf-e-khof-o-haraas tha, so nahi raha

sada-e-dil tu hi , awanz-e-janu hamaari hey


sada-e-dil tu hi , awanz-e-janu hamaari hey
ke tujh mein khoi huwi apni dunya saari hey

tera hi rang-e-takhayul jazbaat pe chhaya hey
sareer araai teri her gosha-e-jaan taari hey

bahar-e-baad ghata zulf o kashaish-e-husn
aahoo-e-zarrien mein yakta-e-waza dari hey

suroop rangini-e-zebaish, o rang-e-apsara
sarapa-e-dilkushan qudrat ki sana kari hey

sokhta dil ho key jan gosha-e-tanhai guman
bas teri aik jhalak barson ki ghum gusari hey

hum sukhan, hum nafas, hum rung-e-dil o jan
warafta dil ko teri humsafari eztiraari hey

khayal tera nakhl-e-sehra o dar qatar key tu
kadi dhoop mein ba saya dar shajar kari hey

mata-e-zest hey tu, teri hamnawai ko salam
tu ho ger saath to zindagi hamein piyari hey

kushan kusha ye dil sabat us ka huwa jata hey
ye kaisi us ki mohabbat mai sitam kari hey

dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa


dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa
jii meN bastii hai Khush-adaa kii adaa

garche sab Khuub-ruu haiN Khuub vale
qatl kartii hai Mirzaa ki adaa

harf-e-bejaa hai gar boluuN
dushman-e-hosh hai piyaa kii adaa

naqsh-e-diivaar kyuN na ho aashiq
hairat-afzaa hai be-vafaa kii adaa

gul hu’e garq-e-aab-e-shabnam meN
dekh us saahib-e-hayaa kii adaa

ai “ dard-e-sar kii daaruu hai
manjh-kuuN us sandalii qabaa kii adaa

MUhabbat se muhabbat ko dobara maang leta hoon

Muhabbat kerte rehne se muhabbat kam nahi hoti

k is jalte diye ki lau kabhi mudham nahi hoti

khuda ka ye khazana khatm hone main nahi aata

koi bhi ho kahin bhi ho,ager is simt aa nikle

to is main wo kahin se bhi koi kami nahi paata

muhabbat,mehr o ulfat,dilnawazi aur dildaari

ye mausam hain!

yehi mausam mere jazb e daroon k anderoon mausam ka hissa hain

mere dil ki kahani hain meri aankhon ka qissa hain

mujhe to jab koi nafrat kahin pe ghair leti hai

koi be rehm saaat meri jaanib berhne lagti hai

to main ehl e muhabbat se sahara maang leta hoon

MUhabbat se muhabbat ko dobara maang leta hoon

MOHABBAT THAIRR JAATI HAI


" MOHABBAT THAIRR JAATI HAI ..... "

Hum aksar yeah samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai...!!!
hamary baat ke andar
mohabbat baith jaati hai
hamary zaat kay andar magar
yeh kam nahin hoti

kisi bhi dukh ki soorat main
kabhi koi zaroorat main
kabhi anjaan se gham main
kabhi lehjay ki thandak main
udaasi ki zaroorat main
kabhi baarish ki soorat main
hamari aankh ke andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat main
bazahir aisa lagta hai usay
hum bhool baithay hain magar
aisa nahin hota magar aisa nahin hota….
yeah hargiz kum nahin hoti…
MOHABBAT THAIR JAATI HAI…….!!!

Muhabbatain rahein dilOon k daRmiyaan na Khuwahishain


Muhabbatain rahein dilOon k daRmiyaan na Khuwahishain
Na hiJr k dinOon ki kOi lehar paas Rehay gai
Na jUstaJou Na Aarzoo
Na Kou ba Kou Kisi waPsi ki Aas rehay gai
Samay !!
Teray sitUm kahain Ya apni BaywafiYaan
Khuch iss Tarah k Beej bOu gaein Moheib Zulmatain
Kali kali shajaR Shajar Sahaab kou taras gaye
Zamana SaziYoon main Pyar ki Aadain Gum hou gaein
Rutain Bahar kou , Chamun Gulaab kou taRus gaYe
Woh Qehat haY k Khuwab tUk siRaab kou Tarus gaYe
Kisi taraf laGain tOu Khuch saKoon hOu dil k shaihir main
Suwaab tOu aalaG rahay Aazaab Kou taRus gaye

Muhabbat Zaat hoti he


Muhabbat Zaat hoti he... 
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai`
Koi jungle main ja thehry
Kissi basti main bas jaye
Mohabbat saath hoti hai
Mohabbat khushbuwon ki lay
Mohabbat mousamoon ka dhan
Mohabbat absharoon k nikhartey paniyoon ka husn
Mohabbat jungloon main raq kaarti morti ka tan
Mohabbat barf barti sardiyoon main dhoop banti hai
Mohabbat chilchilatey garam sehra main thandi chaoon ki manind
Mohabbat dil
Mohabbat jaan
Mohabbat rooh ka darman
Mohabbat morti hai
Aur kabhi jo dil k mandir main kaheen par toot jaye to Mohabbat kanch ki guriya
Fizaoon main kissi k haath se gir k *** jaye to
Mohabbat abla hai karb ka
Aur phoot jaye to
Mohabbat roog hoti hai
Mohabbat soog hoti hai
Mohabbat sham hoti hai
Mohabbat raat hoti hai
Mohabbat jhilmilati aankh main barsat hoti hai
Mohabbat neend ki rutt main ratjagoon ki ghaat hoti hai
Mohabbat jeet hoti hai
Mohabbat maat hoti hai
MOHABBAT ZAAT HOTI HAI .. 

mohabbat oos ki soorat


mohabbat oos ki soorat,
piyasi pankhari kay hont ko seerab karti hai
golon ki asteeno mein anokhey rung bharti hai
sehar kay chatpatey mein, gongonati,muskarati, jagmagati hai
mohabbat kay deeno mein dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdoos ki soorat 
mohabbat oos ki soorat!


mohabbat abbar ki soorat,
dilo ki sar zameen pay ghir kay atti hai aur barasti hai
chaman ka zarra zarra chomata hai,muskarata hai
azal ki baynamo metti mein sabza sar uthata hai
mohabbat un ko bhi abbad aur shaddab karti hai
jo dil hey kabir ki soorat
mohabbat abbar ki soorat!


mohabbat agg ki soorat,
bhojey seeno mien jalti hai tu dil bedar hotay hai
mohabbat ki tapish mien khuch ajab israr hotay hai
kay jitna yeh barhakti hai,aroos-e-jaan mehakti hai
dilo kay sahilo par jama hoti aur behkarti hai
mohabbat jhag ki soorat
mohabbat aag ki soorat!


mohabbat khowab ki soorat,
nighaoo mien utarti hai kisi mehtabb ki soorat
sitarey arzoo kay is tarha say jagmagatey hai
kay peh'chani nahi jati dil-e-bey taab ki soorat!
mohabbat kay shajar par khwab kay panchi utartee hai
tu shaghee jagh uthtee hai
thakey harey sitarey jab zameen say baat kartey hai
tu kab ki montizir ankhoo mien
mohabbat in mein jalti ha chargh-e-abb ki soorat
mohabbat khowab ki soorat!


mohabbat darad ki soorat
ghosishta mohsamoo ka istiyara ban kay rahti hai
shaban-e-hijar mien,roshan sitara ban kay rahti hai
monderoo pay charaghoo ki looh jab thartharati hai
nagar mien na umeedi ki haway sonsanati hai
gali mien jab koi ahat,koi saya nahi rahta
dhukey dil kay leya jab koi bhi dhukha nahi rahta
ghamoo kay boajh say jab tootnay lagtey hay shaney tu
yeh un pay haath rakhti hai
kisi hamdarad ki soorat!
ghuzar jatey hay sarey kafley jab dil ki basti say
faza mein teerti rahti ha deer tad
yeh gard ki soorat,
mohabbat darad ki soorat!

ye aarzuu thii, tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte


ye aarzuu thii, tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftguu karte

payaambar na mayassar hua, to Khuub huaa
zubaan-e-Ghair se kyaa sharaH-e-aarzuu karte

meri tarah se mah-o-mahar bhii haiN aavaara
kisii habiib kii ye bhi haiN justujuu karte

jo dekhte terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
asiir hone ki aazaad aarzuu karte

na puuchh aalam-e-bargashta taala'aii faysal
barastii aag, jo baraaN ki aarzuu karte

Nafratoon ka shahar mairay liyeah hai


Nafratoon ka shahar mairay liyeah hai
Usay tazleel ke khawahish mairay liyeah hai

Joo baat jeetay jee maar dalay insaan koo
Woh baat humnawa ke khaas mairay liyeh hai

Dostoon kay tanz, nashtar zehar bujhaay..
Takhtaa e mashaq, aaj mairay liyeah hai

Jaanta hoon kuch bhi mairaa nahi magar..
Phirr bhee yeah zid sab mairay liyeah hai..

Ik tu hon mubtala e karb e khudi mein ~faysal
Uss pay silsala e josh o junon bhi mairay liyeh hai

ab mohabbat ki wakalat nahi ki ja sakti


ab mohabbat ki wakalat nahi ki ja sakti
shehr bhar se to adawat nahi ki ja sakti

mera chehra meri ankhein hain salamat ab b
kon kehta hay wazahat nahi ki ja sakti???

bat ye hay k koi toot k chahy to sahi
har kisi se to mohabbat nahi ki ja sakti

ankh kehti hay kahein aur chalein jayen hum
dil ye kehta hay k hijrat nahi ki ja sakti

loh-e-dil pe yahi tehreer likhi hay
ishq walon ko nasehat nahi ki ja sakti

kya bataayen ke jaan gayee kaise


kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

waqt pe paaon kab rakhaa humne....
zindagee muh ke bal giri kaise....

kisne raste mein chaand rakhaa tha....
mujhko thokar wahan lagee kaise....

aankh to bhar gayee thi paanee se....
teri tasveer jal gayee kaise....

Hum to ab yaad bhee nahin karte...
aapko hichkee lag gayee kaise...

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

Aik Waadah Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi


Aik Waadah Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi
Warna Inn Taron Bhari Raaton Mein Kiya Hota Nahi

Ji Mein Ata Hai Ulat Den Unn K Chehron Se Naqaab
Hoslah Kartay Hein Par Hoslah Hota Nahi

Shama Jis Ki Abro Pe Jaan De De Jhoom Kar
Woh Patanga Jal Tow Jata Hai Fanah Hota Nahi

Ab Tow Muddat Se Raah O Rasam E Nizaraah Band Hai
Ab Tow Unnka Toor Par Bhi Samna Hota Nahi

Har Shanaawar Ko Nahi Milta Talatum Se Kharaaj
Har Safeenay Ka Muhaafiz Na-khuda Hota Nahi

Har Bhikaari Pa Nahi Sakta Mukaam E Khawajagi
Har Kis O Nakis Ko Tera Ghum Ata Hota Nahi

Hayee Yeh Begaangi Apni Nahi Mujh Ko Khabar
Hayee Yeh Alam K Tu Dil Se Juda Hota Nahi

Baar Ha Dekha Hai *faysal* Ishq Mein
Karwaan K Saath Aksar Rehnumaa Hota Nahi

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain


Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoot Rooti Hain..

Tumharay baad Chahat Kay Sabhi Panchi Ur Jaien,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diye Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Kay Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat Kay Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Saahil Ki Woh Mitti Kay Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.....

Kab tak teri yaad mein ashak bahaye ga


Kab tak teri yaad mein ashak bahaye ga
Dil hai aakhir tujh ko bhuol he jaye ga

Jis kay sathzehan mein lakhoon uljhaina hoon
Woh kia uljhi dunia ko suljhaye ga

Aakhir thandi raat badan ko sehlaye gi
Taptaa surajh kab tak jaan jalaaye ga

Kon jagaye ga inn soye logon ko ?
Kon inn par sar dhaar ki bazi lagye ga

KAWISH aghyaar say bhari ess dunia mein
Koi toh apna ban kar bhi kabhi aaye ga

Guzre waqt ko bhula dena asaan nahi hota


Guzre waqt ko bhula dena asaan nahi hota
Ghamon ko hansi mein chupa lena bhi asaan nahi hota

Zaruri nahi k poori ho har khawahish lekin
Apni khawahish ko daba lena bhi asaan nahi hota

Maana ki toote howay phooloon se khushboo nahi aati
Magar unhein kitabon mein sajaa lena assan nahi hota

Koi aur tere baad aa sakta nahin qun ke
Har kisi ko dil mein jagah dena asaan nahi hota

ab dostoon se hai na teri be-rukhi se hai


ab dostoon se hai na teri be-rukhi se hai
jo bhi gilaah hai apni sada dili se hai

kaisay katay gi raat batana tow sham e hijar
ek dard e be-panah tow dil mein abhie se hai

teri khushi hein gar meri be-chainiyaan tow kiya
mera sakoon e dil bhi tow teri khushi se hai

mein uss se humkalaam hon aur woh hai be-niyaaz
jaisay mera khitaab kisi ajnabi se hai

phir kis liye bachaaon phati aurrhni ko mein!!!
jab tu hi mut-mayen meri be-chaadri se hai

KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR


Kabhi Aansoo, kabhi Khushboo, kabhi Naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera CHEHRA ban kar ;

Chaand nikla hai teri Aankh ke Aansoo ki tarah
Phool mahke hain teri Zulf ka Saaya ban kar ;

Meri Jaagi hoi Raaton ko Osski hai Talaash
So raha hai meri Aankh mein jo Sapna ban kar ;

Dil ke Kaghez pe Uttarta hai woh Shairon ki tarah
Mere Honton pe machalta hai woh Naghma ban kar ;

Raat bhi ho toh boujhti nahi Chehray ki Chamak
Rooh mein phail gaya hai woh Ujaala ban kar ;

Mera kya Haal hai, yeh Aa ke kabhi dekh toh le
Jee raha hoon tera bhoola howa Waada ban kar ;

Dhoop mein kho gaya woh Haath chhuda kar faysal
Ghar se jo saath chala tha mera Saaya ban kar ;

KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR
HUM SE HER SHAAM MILI HAI TERA CHEHRA BAN KAR !
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...