Search Your Query

Custom Search

Sunday, 26 December 2010

Woh Kitney Haseen Lamhey They

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab hum tum saath hotey they,
woh geelay neem k neechay,
geeli ghaas pe baitha,
chandni raat main,
main tumhari zulfain gina kerta tha,
aur tum madhosh si masoom si ,
meri soorat takti thi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum merey pehlo main baithi,
un udaas palon ko yaad kia karti thi,
jab tum mujh se rootha kerti thi,
kuch naraaz naraaz si tumhari soorat,
mujh main khalish si paida kerti thi,
jaisey poori dunya mujh se rooth gayee ho,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab main tumharey kandhey pe ser rakh k,
roya kerta tha,
aur dua kerta tha,
k hum kabhi juda na hon,
tum bhi kia khoob larki thi,
tum bhi ro dya kerti thi,
phir hum dono,
ek doosrey k,
ansoo poncha kertey they,
aur phir achanak khilkhila k,
hansney lagtey they,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum ek phool k saath,
mujh se milney aya kerti thi,
aur phir kuch hi dair main,
janey ki zid kia kerti thi,
aur main tumhain,
rokta rehta tha,
woh ek ek lamha gina kerta tha,
aur phir achanak tum,
pyar se khuda hafiz kehti,
aur,
sangeet ki dhunon ki tarha,
hawa main gum ho jaya kerti thi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tumharey diyey hoey woh phool,
gin gin ker main rakhta tha,
jin ki khushboo se ,
meri almari mehek si jati thi,
aur phir us khushbo main main,
aisa samo sa jata tha,
jaisey merey jeewan main udasi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

Woh Kitney Haseen Lamhey They...


Ab to koi bhi naheen hai,
woh lamhay woh yadain hain,
na koi soorat na koi kandha,
aur na koi dhanda hai,
na koi roothney wala hai k,
jis ko ab manaya jayey,
na koi matha hai k jis pe,
bosa sa lagaya jayey,
na koi haath hai k jisko,
apney haath main thaama jayey,
aur na koi masoom si soorat,
k jis pe pyar sa aya jayey,
ab to sirf un lamhon ki,
kuch qeemti si yadain hain,
k jin k saharey jeeney ki,
tamanna main hum harey hain,
HUM HAREY HAIN....HUM HAREY HAIN....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...