Wo jo hum main tum main qarar tha, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wohi wada yani nibah ka, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wo jo lutf mujh pay thay paish-tar, wo karam kay tha mairay haal par
Mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Kabhi baithay sab main jo ru-baru, to isharoon hi say guftagoo
Wo bayan shauq ka barmala, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wo naiy gilay wo shikayatain, wo mazay mazay ki hikayatain
Wo har ik baat pay roothna, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Kabhi hum main tum main bhi chah thee, kabhi hum say tum ko bhi raah thee
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wo bigarna wasal ki raat ka, wo na man’na kisi bhi baat ka
Wo nahi nahi ki har aan ada, tumhain yaad ho kay na yaad ho
So zikar hai kai saal ka, kia ik aap nay wada tha
So nibhanay ka to zikar kia, tumhain yaad ho kay na yaad ho
Jisay aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay bawafa
Main wohi hoon Momin mubtala, tumhain yaad ho kay na yaad ho!!
No comments:
Post a Comment