Search Your Query

Custom Search

Sunday, 26 December 2010

Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue

Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

Khuda jane kya ye 'mujazza' hai ki mehkta hai ghar mera !
arsa hua hai unko iss dayaar-e-muntzir main aye hue !!

Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain !
gale milte bhi hain to hath se dil chupaye hue !!

Ab ehsaas bhi aitbaar ka nazar-e-tuffan ho gaya !
nakhuda ko bhi baithe hain hum bakhuda azmaye hue !!

Kuch iss tarah teri duniya se beaabru hoker hum chale !
jaise zohad wale baithe hain duniya tujhse churaye hue !!

Khudaya shukr ke usne keh jo diya palat ker !
verna phirte teri buzm main apna moo chupaye hue !!

Hawao se jab kabhi muqabil ye patang nazer ayi !
badala rukh hawao ne aur chali sar uthye hue !!

Bhatakti hui ek massom saba roti rahi mere shano pe !
kehti thi kyon ho iss shaher main gaon apna lutye hue !!

Kya dhondhta hai jane wo masiha ab wo dharkanain kahan !
khan-e-dil ko baithi hai wafayen yadon ka mazaar banye hue !!

Wahi palke wahi khushbu wahi chehra to hai “shakeel” !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...