ik gali thi jab us se hum niklay
aise niklay ke jaise damm niklay
jin se dil ka moaamla hota
yaa.n bht kamm hi aise ghamm niklay
koocha-e-aarzoo jo tha us mein
zulf-e-jaana.n tarha ke khamm niklay
jo phire dar ba dar yahaa.n woh log
apnay baahar bohot hi kamm niklay
aag dil sheher mein lagi ji din
sab se aakhir mein waa.n se humm niklay
jaun yeh jo wujood hai yeh wujood
kya banegi agar adamm niklay?
shikwa yeh hai ke woh bhi woh nikla!
hai nadaamat ke hum bhi humm niklay!
No comments:
Post a Comment