Search Your Query

Custom Search

Friday, 4 February 2011

Main shayaad tum ko Yaksar bhoolnay wala hoon


Shayaad


Main shayaad tum ko Yaksar bhoolnay wala hoon
Shayaad Jaan-e-Jaan, Shayaad
Ke ab tum mujh ko pehlay se ziyaada Yaad aati ho
Hai dil Ghamgeen, bohot Ghamgeen
Ke ab tum Yaad dil Daarana aati ho
Shamim-e-Dooor maanda ho
BOhot Ranjeeda ho mujh se
Magar Phir bhi
Mishaam-e-Jaan main meri Aashti Mandaana aati ho
Judaii main Bala ka Iltifaat-e-Mehrmana hai
Qayamat ki Khabar geeri hai
Be-hud Naaz bardari ka ALam hai
Tumharay Rang mujh main aur gehray hotay jatay hain
Main Darta hoon
Meray Ehsaas ke is Khuwaab ka Anjaam kya hoga
Yeh meray Andaroon-e-Zaat ke Taraaj gar
Jazboon ke Bairi waqt ki sazish na ho koi
Tumharay is tarhaa Har lamha yaad aanay se
Dil Sehma hua sa hai
To phir Tum kum hi yaad aaoo
Mata-e-DIl, Mata-e-Jaan phir Tum kum hi Yaad aaoo
BOhot kuch Beh gaya hai Sail-e-Mah-o-Saal main ab tuk
Subhi kuch to na Beh jayee
Ke meray Paas Reh bhi kya gaya hai
Kuch to Reh jayee

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...