Search Your Query

Custom Search

Monday, 28 March 2011

Zakhm-E-Tanhai Mein khushbo-e-hina kis ki thi,


Zakhm-E-Tanhai Mein khushbo-e-hina kis ki thi,
Saaya diwar per mera tha Sada kis ki thi,
Us ki raftar se lipti rahi ankhen meri,
Us ne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi,
Aansuon se hi bhar gaya daaman mera,
Hath to maine utthaye thay DUA kis ki thi,
Meri Aahon ki zubaan koi samjhta kaise,
Zindgi itni dukhi mere siwa kis ki thi,
Aag se dosti us ki thi jala ghar mera
De gaye kisko saza aur khataa kis ki thi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...