Search Your Query

Custom Search

Monday, 28 March 2011

Aatish-e-ishq me jal jaon tujhe is se kya


Aatish-e-ishq me jal jaon tujhe is se kya
Mousam ki tarah badal jaon tujhe is se kya

Chot khaon ya zakham lagay,ya ehsas-e-ghum me tarpon
Me gir jaon ya sanbhal jaon tujhe is se kya

Musaraton ko dekh ker Beqarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum se behal jaon, tujhe is se kya

Hansta dekh ker hans paron, rota dekh ker ro paron,
Halat k sanchay me dhal jaon, tujhe is se kiya

Zararot nahi ab kisi hamsafar ki Sharif
Janib-e-manzil tanha nikal jaon,tujhe is se kya.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...