Search Your Query

Custom Search

Monday, 28 March 2011

Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho


Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho.
Badn me door talak zindgi ka naam na ho !
Wo benaqaab jo phirta hai gali koochon me.
To kaise shehar k logo me 'qatl-e- aam' na ho !
Muje yaqeen hai k dunya me dard barh jain.
Agar ye peenay- pilanay ka ehtmaam na ho !
Bitha k samne bas dekhta rhoon us ko.
Us k siwa muje dunya ka koi kaam na ho !
Jo us ko Mein dekh lu ik nazar b,
Mere shehar ki galiyon me kbi shaam na ho....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...