Search Your Query

Custom Search

Sunday, 12 December 2010

Musafir to bicharte hain,rafaqat kab badalti hai

Musafir to bicharte hain,rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahte hein,tumhi se pyaar karte hein
yehi barsoun se adat hai aur adat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
jo pathar pe likhi jaye, ibarat kab badalti hai

kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hai
yehi kanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pe naqash kar jaye aur aankon mein simat aye
alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaha,ussey pooja,yehi toqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hai

purane zakham ko arshad bhula dena hi acha
na chahey aap hi koi to kismat kab badalti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...