hasrat diyas ne rakha na kahin ka hum ko
teri furqat mein tarapne ka maza bhool gae
dil ghamgin hai mera aur yeh hasrat raat din afsar
ke apne bhoolne wale ko kab yaad aaenge hum bhi
tum pass nahi woh to ajab haal hai dil ka
yun jaise ke kuch rakh ke kahn bhool gai hoon
hum ne tughe bhula bhi diya satata raha khayal bhi
ba-zahir to koi gham na tha dil ko bhelane bhi
usse bhula ke mein zinda hoon aur khush bhi hoon
yeh bad-duain hain us ki inhen dua na kaho yaaro
kahan aa ke ruke the kahan mor tha usse bhool ja
jo mil gaya hai usse yaad rakh jo nahi mila use bhool ja
na jane kitne iradon mein bat gaya hai wajood
tughe bhula bhi diya,aur be-qarar bhi hoon
ajab tareeqa hai janan tughe bhulane ka
ke teri yaad se ik pal bhi be-khabar na ho
No comments:
Post a Comment