Search Your Query

Custom Search

Sunday, 12 December 2010

kise ki ankh ka ansoon! bara anmool hota hay

kise ki ankh ka ansoon !

bara anmool hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

kise ko dhoondti ankhaan

kise ko sochti ankhain

bari batab si ankhian

bouth anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kisi ki yaad ka mosaam

dill-e-barbad ka mosam

bara ranjur hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

kise ki yaad ka badal

kise ki ankh ka kajal

kise ka rashmi anchal

bara nayaab hota hay

kabhi sochha hay ye tum nay

kise ki unkahi batian

kise ki unsuni batian

bouth anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kise ki ajnabi ankhian

dua dayti howee ankhian

kise ki yaad main barasti howee ankhian

bari anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kise kay dill main bastay ho

ghari bhar ko jo miltay ho

milan ka bas wohi lamha

bara nayab hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...