MAA...
MAOT KI AAGOSH ME JAB THAK KE SU JAATI HAI MAA
TAB KAHI JA KAR RAZA THODA SUKOO PATI HAI MAA
FIKAR MEIN BACHOO KI KUCH IS TARAH GHUL JAATI HAI MAA
NAWJAWAN HUTE HUE BUDHI NAZAR AATI HAI MAA
RUH KE RISHTOO KI YE GAHRAYIAAN TO DEKHIYE
CHOT LAGTI HAI HUMARE AOUR CHILLATI HAI MAA
HADIYOON KA RAS PILA KAR APNE DIL KE CHAIN KO
KITNI HI RAATO ME KHALI PET SO JAATI HAI MAA
JANE KITNI BARF SI RAATOO ME AISA BHI HUA
BACHA TU CHATI PE HAI GILE ME SO JAATI HAI MAA
JAB KHILONE KO MACHALTA HAI KOI GHURBAT KA PHOOL
AANSOON KE SAAZ PER BACHEE KO BAHLATI HAI MAA
FIKAR KE SHAMSHAN ME AAKHIR CHIAAOON KE TARAH
JAISE SUKHI LAKDIYAAN, IS TARAH JAL JAATI HAI MAA
APNE AANCHAL SE GULABI AANSUOO KO PUNCH KAR
DER TAK GURBAAT PE APNI ASHAK BARSATI HAI MAA
SAMNE BACHOO KE KHUSH RAHTI HAI HAR EK HAAL ME
RAAT KU CHUP CHUP KE LEKIN ASHAK BARSATI HAI MAA
KAB ZAROORAT HU MERI BACHE KO, ITNA SOCH KAR
JAGTI RAHTI HAIN AANKHEN AOR SO JAATI HAI MAA
MANGTI HI KUCH NAHI APNE LIYE ALLAH SE
APNE BACHO KE LIYE DAMAN KO PHAILATI HAI MAA
DE KE IK BIMAAR BACHE KO DUAYEEN AOUR DAWA
PAINTI HI RAKH KE SAR QADMOO PE SO JAATI HAI MAA
GAR JAWAN BEETI HO GHAR MEIN KOI RISHTA NA HO
IK NAYE IHSAAS KI SULI PE CHADH JAATI HAI MAA
HAR IBADAAT HAR MUHABAT MEIN NIHA HAI IK GARAZ
BE GARAZ BE LAOS HAR KHIDMAAT KO KAR JATI HAI MAA
ZINDAGI BHAR CHUNTI HAI KHAR, RAH E ZEEST SE
JAATE JAATE NEMAT E FIRDAOUS DE JAATI HAI MAA
BAZOON ME KHEENCH KE AAJAYE GI JAISE KAINAAT
AISE BACHE KE LIYE BAHOO KO PHAILATI HAI MAA
ZINDAGANI KE SAFAR MEIN GARDISHOO KI DHOOP MEIN
JAB KOI SAYA NAHI MILTA TO YAAD AATI HAI MAA
PYAR KAHTE HAI KISE AOR MAAMTA KYA CHEEZ HAI
KOI UN BACHOO SE PUCHEYE JIN KI MAR JAATI HAI MAA
SAFHA E HASTI PE LKHITI HAI USUL E ZINDAGI
IS LIYE IK MAKTAB E ISLAM KAHLATI HAI MAA
US NE DUNIYA KO DIYE MASOOM RAHBER IS LIYE
AZMATOO ME SANIYE QURAAN KAHLATI HAI MAA
GHAR SE JAB PARDES JAATA HAI KOI NUR E NAZAR
HATH MEIN QURAAN LE KER DAR PE AAJATI HAI MAA
DE KE BACHE KO ZAMANT ME ALLAH PAAK KI
PICHEE PICHEE SAR JHUKAYE DUR TAK JATI HAI MAA
KANPTI AAWAZ SE KAHTI HAI BETA ALVIDA
SAMNE JAB TAK RAHE HATHOO KO LAHRATI HAI MAA
JAB PARISHAN ME GHAR JATE HAI HUM PARDES ME
AANSUOO KO PONCHONE KHWABOO MEIN AAJATI HAI MAA
DER HO JAATI HAI GHAR AANE ME AKSAR JAB HUMEYEN
RET PER MACHILI HU JAISE AAISE GHABRATI HAI MAA
MARTE DUM BACHA NA APAYE AGAR PARDES SE
APNI DONO PUTLIYAAN CHAWKHAT PER RAKH JATI HAI MAA
BAD MAR JAANE KE PHIR BETE KI KHIDMAT KE LIYE
BHES BETI KA BADAL KAR GHAR ME AAJATI HAI MAA
HUM BALAOO ME KAHI GHIRTE HAI TO BEIKHTIYAAR
KAHIR HU BACHE KI, KAH KAR DAR PE AAJATI HAI MAA
CHAHE HUM KHUSHIYOO ME MAA KO BHOOL JAYEEN DOSTOO!
JAB MUSIBAAT SAR PE AATI HAI TU YAAD AATI HAI MAA
DOOR HO JAATI HAI SAARI UMAR KI IS DAM THAKAN
BYAAH KAR BETE KO JAB GHAR ME BAHOO LAATI HAI MAA
CHEEN LETI HAI WAHI AKSAR SUKOON E ZINDAGI
PYAAR SE DULHAN BANAKAR JIS KO GHAR LAATI HAI MAA
PHEIR LETE HAI NAAR JIS WAQAT BETE AOR BAHOO
AJNABI APNE HI GHAR ME HAI BANJATI HAI MAA
HUM NE YE BHI TO NAHI SOCHA ALAG HONE KE BAAD
JAB DIYA HI KUCH NAHI HUM NE TO KYA KHATI HAI MAA
ZABT TO DEKHOO KI ITNII BE RUKHI KE BAOWAJOOD
BAD DUAA DETI HAI HARGIZ AOR NA PACHTATI HAI MAA
ALLAH ALLAH BHOOL KAR HAR IK SITAM KO RAAT DIN
POTI POTE SE SHIKASTA DIL KO BAHLATI HAI MAA
BETA KITNA HI BURA HU, PAR PADOSAAN KE HUZOOR
ROOK KAR JAZBAAT KO BETE KE GUN GAATI HAI MAA
SHADIYAA KAR KE BACHE JA BASE PARDES ME
DIL KHATOO SE AOR TASWEERO SE BAHLATI HAI MAA
APNE SEENE PAR RAKHE HAIKAINAT E ZINDAGI
YE ZAMEEN IS WASTE AYE DOST KAHLATI HAI MAA.
No comments:
Post a Comment