~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari~
~duniya mein hai sabse nyaari~
~sabse bholi sabse pyaari~
~maa ki mamta kitani pyaari~
~mujhko deti hai jee bhar pyaar aur dulaar~
~bholi bhali surat me hai mamta ki murat~
~jeevan jisne diya hume karni chahiye parwaha hume~
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari~
~duniya mein hai sabse nyaari~
~man ko tatolati hai usko ankhe raho kahi tum age yaa pichche~
~maa me hai man, aur man me hai basi tu maa~
~dua karu mai lag jaye meri bhi tujhe umar maa~
~maa ki maaya aur unke aanchal ki saaya~
~ bankar rahe sabhi par chhaya~
~karungi yahi dua main Umra bhar~
~maa mai kaise karu ye dua waqt se... ~
~jeevan hai mera tere bina mushkil~
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari~
~duniya mein hai sabse nyaari~
~tere har baton me hai meethi baat~
~tere bina mai ho jati hun mushkil mei girftar~
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari~
~duniya mein hai sabse nyaari~
~maa 'munnay' ko hai teri yaad~
~yahi hai maa meri tujhse fariyaad~
~maa tum ho sabke dil ke paas~
~maa tum ho sabhi dilo ki Aas~
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari~
~duniya mein hai sabse nyaari~
No comments:
Post a Comment