Hum per tumari Chah ka ilzam hi to hai
dushnam to nahin hai ye ikaram hii to hai
karate hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin
shauq-e-fazool-o-ulfat-e-nakaam hii to hai
dil muddaii ke harf-e-malaamat se shad hai
ae jaan-e-jan ye harf tera naam hii to hai
dil naa-ummiid to nahiin, na-kaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai
dast-e-falak men, gardish-e-taqadiir to nahin
dast-e-falak men, gardish-e-ayyaam hii to hai
aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai
bhiigii hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa hangaam hii to hai
No comments:
Post a Comment