Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yaar ke qissey
Gul o gulzaar ki baatien, Lab o rukhsaar ke qissey.
Yahan sab ke muqaddar mein faqat zakhm e judai hai,
Sab hi jhootey fasaney hain wisaal e yaar ke qissey.
Bhala ishq o mohabbat se kisi ka pait bharta hai,
Suno tum ko sunata hoon main karobaar ke qissey.
Mere ehbaab kehte hain yehi aik aib hai mujh mein,
Sar e deewar likhta hoon pas e deewar ke qissey.
Main aksar is liye logon se jaa kar khud nahi milta,
Wohi bekaar ki baatien wohi bekaar ki qissey...!
No comments:
Post a Comment