Search Your Query

Custom Search

Monday, 13 December 2010

Mohabbat naam ka jo jazeera hai

Mohabbat naam ka jo jazeera hai.
wahan jana paray jo tum ko.
hamari yaad ko saath le lena.

Suna hai is jazeeray per kabhi do hans rehtay thay.
woh ek doojay ki aankhoon main khuwaab chuntay thay.
wafa k tanay banay reshmi batoon se buntay thay.
phir ek roz ki tajdeed bhi kartay thay.
magar rutt k badaltay hi hua aisay.
woh donu mukhtalif samtoon main chal niklay.
suna hai phir ek saath donu ko nahi dekha.

Mohabbat naam ka jo jazeera hai.
wahan jana paray jo tum ko.
to uss tanha shajar k pass bhi jana.
k jis ki sari shakhoon k libaadoon per
har janib kissi ka naam likha hai.
suna hai likhnay wala zindgi bhar kuch nahi likh paya.
woh apni unglioon per khoon ki mohrein laga baitha hai.
moqaddar daar kar baitha. woh khud ko haar baitha.

Mohabbat naam ka jo jazeera hai. waha jana paray jo tum ko...................

Yeh Adhoorapan, Jaise Aadhi Kaali Raat

Yeh Adhoorapan,
Jaise Aadhi Kaali Raat,
Jaise Aadha Chand,
Jaise Bin Sooraj Kiran,
Jaise Bin Badal Barsaat,
Jaise Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaise Beawaz Koyal,
Jaise Sookhi Kali,
Jaise Thehra Hua Paani,
Jaise Bin Paani Machhli,
Jaise Andha Raahi,
Jasie Bikhri Zulfein,
Jasie Dulhe Bin Baraat,
Aise Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Ye Adhurapan..

Aao k ab nai zindgi ka aghaz kartain hain

Aao k ab nai zindgi ka aghaz kartain hain
Kuch khushi k guzre paloon ko yad kertain hain.

Bhula k kul talkihan zamane ki .
sherenie- ae zeest ko yad kartey hain.

Jo ho guzra use bholne ki koshish kartey hain.
Phir se ujrey weranay ghar ko aabad kartain hain.

Main janta hoon howi kuch ghaltian hum se bhi.
Buhla do tum jo in ko to nai shroaat kartain hain.

tumhari sub khataoon ko main khatir nahin lata.
chalo is baat ka hum tum se iqrar kartain hain.

Joo phir se jora hai wohi rishta zara mushkil nazarta hai.
Hamian bhi to dekh jo ab bhi wohi aetmad kartain hain.

Bhla na paya tha na paya hoon na payoon ga tujhe
Bas ise baat ko hum zindgi ki bunyad kartain hain.

Hamaara Yeh tum ko salaam aakhri hai

Hamaara Yeh tum ko salaam aakhri hai
Suno! Aaj tum se kalaam aakhri hai


Agar ho sake to bhula dena hm ko
Yehi ek chota sa kaam aakhri hai,


Abhi aarzuon k sehraa hain peyaase
Magar aansuon ka yeh Jaam aakhri hai,


Mareez mohabbat ki ay chaara'saazo
Tumhare shehar mein yeh shaam aakhri hai,


Zra dair thehro qaza k Farishton
Labon pe hamare payaam aakhri hai,


Koi mil sake ga na mere Jaisa,
Tere Husn ka yeh Ghulaam aakhri hai...

Kahin sehra main sookhay shajar achay nahin lagtay

Kahin sehra main sookhay shajar achay nahin lagtay
Mujhe ab khwaab zaaron k safar achay nahin lagtay

Jawabi khat main yun us ne mere bare main likha tha
Bura bhi keh nahin sakte magar achay nahin lagtay

Nahin masroof main itna k ghar ka rasta bhoolon
Koi jab muntazir na ho to ghar achay nahin lagtay

Samundar tairti lashon se kehta raha shab bhar
Mujhe bhi doobne walo bhanwar achay nahin lagtay

Nahin aisa k ab parwaz ki taaqat nahin baqi
Mere umeed k panchi ko par achay nahin lagtay...........!

bicharr gaya hai to ab us se kuch gila bhi nahi

bicharr gaya hai to ab us se kuch gila bhi nahi

jo sach kahoon to woh aek shaks mera tha bhi nahi


main chahta hoon ussay aur chaahne ke siwa

mere liye to koi aur raasta bhi nahi


tere siwa bhi kayi dost baney to yeh raaz khula

mera to shehar mein koi tere siwa bhi nahi!

phir chaand khila, phir raat thami

phir chaand khila, phir raat thami

phir dil ne kaha, hai teri kami

phir yaadon ke jhoole mehak gaye

phir dil ke arman behak gaye

phir jannat si lagti hai zamin

phir dil ne kaha, hai teri kami

phir guzre lamhon ki baatein

phir jaagi jaagi si raatein

phir thehar gayi palkon pe nami

phir dil ne kaha, hai teri kami!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...